Arman Khan Arman
Ghazal 12
Sher-o-Shayari 6
na.e mizāj ke logoñ ko kis liye āḳhir
qadīm taur-tarīqoñ ke bas meñ rahnā paḌā
nae mizaj ke logon ko kis liye aaKHir
qadim taur-tariqon ke bas mein rahna paDa
-
Share this
- See Ghazal
jangal meñ udāsī ke rahoge bhalā kab tak
kuchh raah banā kar ke nikal kyoñ nahīñ jaate
jangal mein udasi ke rahoge bhala kab tak
kuchh rah bana kar ke nikal kyon nahin jate
-
Share this
- See Ghazal
kuchh lutf is tarah hai musalsal safar ke saath
manzil bhī sāmne ho to rasta na paa.e dil
kuchh lutf is tarah hai musalsal safar ke sath
manzil bhi samne ho to rasta na pae dil
-
Share this
- See Ghazal
talḳhiyāñ ḳhūn-e-jigar kī shā'irī meñ ghol kar
chand misre' laa.eñ haiñ ham bhī sunāne ke liye
talKHiyan KHun-e-jigar ki sha'iri mein ghol kar
chand misre' laen hain hum bhi sunane ke liye
-
Share this
- See Ghazal
sar qalam kar de sitamgar dast-o-bāzū kaaT de
be-takalluf haq-ba-jānib baat honī chāhiye
sar qalam kar de sitamgar dast-o-bazu kaT de
be-takalluf haq-ba-jaanib baat honi chahiye
-
Share this
- See Ghazal