jo kaam ke nahin the wo ummid-gah hain
jo kaam ke nahīñ the vo ummīd-gāh haiñ
kankar mirī zamīn ke ab mehr-o-māh haiñ
miTTī bhī kīmiyā hai agar kaam lījiye
andhe bhī is jahān ke ahl-e-nigāh haiñ
jo dil meñ naqsh hai use kaise ubhāriye
jo mehrbāñ haiñ sūrat-e-abr-e-siyāh haiñ
ab Tokne lage haiñ hunar-mand bhī hameñ
is shahr ke charāġh bhī ab sang-e-rāh haiñ
jin rāstoñ pe she'r kahe the kabhī 'ḳhalīl'
un rāstoñ ke aaj bhī patthar gavāh haiñ
jo kaam ke nahin the wo ummid-gah hain
kankar meri zamin ke ab mehr-o-mah hain
miTTi bhi kimiya hai agar kaam lijiye
andhe bhi is jahan ke ahl-e-nigah hain
jo dil mein naqsh hai use kaise ubhaariye
jo mehrban hain surat-e-abr-e-siyah hain
ab Tokne lage hain hunar-mand bhi hamein
is shahr ke charagh bhi ab sang-e-rah hain
jin raston pe she'r kahe the kabhi 'KHalil'
un raston ke aaj bhi patthar gawah hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.