ab dil hai tere gham ka sahaara liye hue
ab dil hai tere ġham kā sahārā liye hue
qatra hai apne zarf meñ dariyā liye hue
ik maiñ hī kyā huuñ aap bhī majbūr-e-‘ishq haiñ
zāhir meñ iḳhtiyār kā parda liye hue
kis ko yaqīn aa.e qayāmat kī baat kā
baiThe raheñ vo vā'da-e-fardā liye hue
maiñ ġham kī vādiyoñ se guzartā chalā gayā
terī 'ināyatoñ kā sahārā liye hue
mere liye firāq kī shab bhī hai tābnāk
phirtā huuñ sham'-e-dāġh-e-tamannā liye hue
dekhe vo tujh ko kyā jo tirī bazm-e-nāz meñ
baiThā ho chashm-e-shauq kā parda liye hue
ham tājdār-e-'ishq haiñ duniyā se kaam kyā
duniyā ke log haiñ ġham-e-duniyā liye hue
'sābir' vo be-niyāz-e-tamannā raheñ to kyā
jab maiñ huuñ e'tibār-e-tamannā liye hue
ab dil hai tere gham ka sahaara liye hue
qatra hai apne zarf mein dariya liye hue
ek main hi kya hun aap bhi majbur-e-‘ishq hain
zahir mein iKHtiyar ka parda liye hue
kis ko yaqin aae qayamat ki baat ka
baiThe rahen wo wa'da-e-farda liye hue
main gham ki wadiyon se guzarta chala gaya
teri 'inayaton ka sahaara liye hue
mere liye firaq ki shab bhi hai tabnak
phirta hun sham'-e-dagh-e-tamanna liye hue
dekhe wo tujh ko kya jo teri bazm-e-naz mein
baiTha ho chashm-e-shauq ka parda liye hue
hum tajdar-e-'ishq hain duniya se kaam kya
duniya ke log hain gham-e-duniya liye hue
'sabir' wo be-niyaz-e-tamanna rahen to kya
jab main hun e'tibar-e-tamanna liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.