aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on khush-bayaani

lahja ki jaise sub.h ḳhushbū azaan de

chāhtā hai maiñ tirī āvāz chuum luuñ

lahja ki jaise subh ki KHushbu azan de

ji chahta hai main teri aawaz chum lun

Bashir Badr

vo ḳhush-kalām hai aisā ki us ke paas hameñ

tavīl rahnā bhī lagtā hai muḳhtasar rahnā

wo KHush-kalam hai aisa ki us ke pas hamein

tawil rahna bhi lagta hai muKHtasar rahna

Wazir Agha

ḳhudā us ke gale meñ ajiib qudrat hai

vo boltā hai to ik raushnī hotī hai

KHuda ki us ke gale mein ajib qudrat hai

wo bolta hai to ek raushni si hoti hai

Bashir Badr

bolte rahnā kyūñki tumhārī bātoñ se

lafzoñ ye bahtā dariyā achchhā lagtā hai

bolte rahna kyunki tumhaari baaton se

lafzon ka ye bahta dariya achchha lagta hai

Unknown

ajab lahja hai us guftugū

ġhazal jaisī zabāñ vo boltā hai

ajab lahja hai us ki guftugu ka

ghazal jaisi zaban wo bolta hai

Unknown

phuul ḳhushbū havā chaap shīshe khanak

kaun shai hai jo terī ḳhush-bayānī meñ nahīñ

phul ki KHushbu hawa ki chap shishe ki khanak

kaun si shai hai jo teri KHush-bayani mein nahin

Unknown

us ġhairat-e-nāhīd har taan hai dīpak

sho.ala lapak jaa.e hai āvāz to dekho

us ghairat-e-nahid ki har tan hai dipak

shoala sa lapak jae hai aawaz to dekho

Momin Khan Momin

lai meñ Duubī huī mastī bharī āvāz ke saath

chheḌ de koī ġhazal ik na.e andāz ke saath

lai mein Dubi hui masti bhari aawaz ke sath

chheD de koi ghazal ek nae andaz ke sath

Unknown

charāġh jalte haiñ bād-e-sabā mahaktī hai

tumhāre husn-e-takallum se kyā nahīñ hotā

charagh jalte hain baad-e-saba mahakti hai

tumhaare husn-e-takallum se kya nahin hota

Hamid mahboob

us āvāz meñ the saare ḳhad-o-ḳhāl us ke

vo chahaktā thā to hañste the par-o-bāl us ke

us ki aawaz mein the sare KHad-o-KHal us ke

wo chahakta tha to hanste the par-o-baal us ke

Wazir Agha

merī ye aarzū hai vaqt-e-marg

us āvāz kaan meñ aave

meri ye aarzu hai waqt-e-marg

us ki aawaz kan mein aawe

Ghamgeen Dehlvi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now