miir kyā saade haiñ bīmār hue jis ke sabab
usī attār ke laḌke se davā lete haiñ
mir kya sade hain bimar hue jis ke sabab
usi attar ke laDke se dawa lete hain
jo lauñDā chhoḌ kar ranDī ko chāhe
vo kui āshiq nahīñ hai bul-havas hai
jo launDa chhoD kar ranDi ko chahe
wo kui aashiq nahin hai bul-hawas hai
husn thā terā bahut ālam-fareb
ḳhat ke aane par bhī ik aalam rahā
your beauty was deceptive and O! to such extent
even after you matured this wonder never went
husn tha tera bahut aalam-fareb
KHat ke aane par bhi ek aalam raha
your beauty was deceptive and O! to such extent
even after you matured this wonder never went
kyā us ātish-bāz ke lauñDe kā itnā shauq miir
bah chalī hai dekh kar us ko tumhārī raal kuchh
kya us aatish-baz ke launDe ka itna shauq mir
bah chali hai dekh kar us ko tumhaari ral kuchh
kaifiyyateñ attār ke lauñDe meñ bahut thiiñ
is nusḳhe kī koī na rahī haif davā yaad
kaifiyyaten attar ke launDe mein bahut thin
is nusKHe ki koi na rahi haif dawa yaad
bāham huā kareñ haiñ din raat nīche uupar
ye narm-shāne lauñDe haiñ maḳhmal-e-do-ḳhvābā
baham hua karen hain din raat niche upar
ye narm-shane launDe hain maKHmal-e-do-KHwaba
gar Thahre malak aage unhoñ ke to ajab hai
phirte haiñ paḌe dillī ke lauñDe jo parī se
gar Thahre malak aage unhon ke to ajab hai
phirte hain paDe dilli ke launDe jo pari se
dhaulā chuke the mil kar kal lauñDe mai-kade ke
par sargirāñ ho vaa.iz jaatā rahā saTak kar
dhaula chuke the mil kar kal launDe mai-kade ke
par sargiran ho waiz jata raha saTak kar
amrad-parast hai to gulistāñ kī sair kar
har naunihāl rashk hai yaañ ḳhurd-sāl kā
amrad-parast hai to gulistan ki sair kar
har naunihaal rashk hai yan KHurd-sal ka
yaañ talak ḳhush huuñ amārid se ki ai rabb-e-karīm
kaash de huur ke badle bhī tū ġhilmāñ mujh ko
yan talak KHush hun amarid se ki ai rabb-e-karim
kash de hur ke badle bhi tu ghilman mujh ko
miir us qaazī ke lauñDe ke liye āḳhir muā
sab ko qaziya us ke jiine kā thā baare chuk gayā
mir us qazi ke launDe ke liye aaKHir mua
sab ko qaziya us ke jine ka tha bare chuk gaya
liyā maiñ bosa ba-zor us sipāhī-zāde kā
azīzo ab bhī mirī kuchh dilāvarī dekhī
liya main bosa ba-zor us sipahi-zade ka
azizo ab bhi meri kuchh dilawari dekhi
haath chaḌh jā.iyo ai shaiḳh kisū ke na kabhū
lauñDe sab tere ḳharīdār haiñ maiḳhāne ke
hath chaDh jaiyo ai shaiKH kisu ke na kabhu
launDe sab tere KHaridar hain maiKHane ke