Abroo Shah Mubarak
Ghazal 72
Sher-o-Shayari 79
jo lauñDā chhoḌ kar ranDī ko chāhe
vo kui āshiq nahīñ hai bul-havas hai
jo launDa chhoD kar ranDi ko chahe
wo kui aashiq nahin hai bul-hawas hai
- Add to favorites
-
Share this
duur ḳhāmosh baiThā rahtā huuñ
is tarah haal dil kā kahtā huuñ
dur KHamosh baiTha rahta hun
is tarah haal dil ka kahta hun
- Add to favorites
-
Share this
tumhāre log kahte haiñ kamar hai
kahāñ hai kis tarah kī hai kidhar hai
tumhaare log kahte hain kamar hai
kahan hai kis tarah ki hai kidhar hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
aaj yāroñ ko mubārak ho ki sub.h-e-eid hai
raag hai mai hai chaman hai dilrubā hai diid hai
aaj yaron ko mubarak ho ki subh-e-eid hai
rag hai mai hai chaman hai dilruba hai did hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
qaul 'ābrū' kā thā ki na jā.ūñgā us galī
ho kar ke be-qarār dekho aaj phir gayā
qaul 'abru' ka tha ki na jaunga us gali
ho kar ke be-qarar dekho aaj phir gaya
- Add to favorites
-
Share this
Image Shayari 1
ishq hai iKHtiyaar kaa dushman sabr o hosh o qaraar kaa dushman dil tirii zulf dekh kyuu.n na Dare jaal ho hai shikaar kaa dushman saath achraj hai zulf o shaane kaa mor hotaa hai maar kaa dushman dil-e-sozaa.n kuu.n Dar hai anjhuvaa.n sii.n aab ho hai sharaar kaa dushman kyaa qayaamat hai aashiqii ke rashk yaar hotaa hai yaar kaa dushman 'aabruu' kaun jaa ke samjhaave kyuu.n hu.aa dost-daar kaa dushman