Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nazm Tabatabai's Photo'

Nazm Tabatabai

1854 - 1933 | Lucknow, India

Prominent scholar of Persian and Urdu who is known for his book 'Sharh-e-Diwan-e-Ghalib' an interpretation of Ghalib's poetry.

Prominent scholar of Persian and Urdu who is known for his book 'Sharh-e-Diwan-e-Ghalib' an interpretation of Ghalib's poetry.

Sher of Nazm Tabatabai

884
Favorite

SORT BY

dard-e-dil se ishq ke be-pardagī hotī nahīñ

ik chamak uThtī hai lekin raushnī hotī nahīñ

dard-e-dil se ishq ke be-pardagi hoti nahin

ek chamak uThti hai lekin raushni hoti nahin

asīrī meñ bahār aa.ī hai fariyād-o-fuġhāñ kar leñ

nafas ko ḳhūñ-fishāñ kar leñ qafas ko bostāñ kar leñ

asiri mein bahaar aai hai fariyaad-o-fughan kar len

nafas ko KHun-fishan kar len qafas ko bostan kar len

apnī duniyā to banā thī riyā-kāroñ ne

mil gayā ḳhuld bhī allāh ko phuslāne se

apni duniya to bana li thi riya-karon ne

mil gaya KHuld bhi allah ko phuslane se

banāyā toḌ ke ā.īna ā.īna-ḳhāna

na dekhī raah jo ḳhalvat se anjuman taraf

banaya toD ke aaina aaina-KHana

na dekhi rah jo KHalwat se anjuman ki taraf

mirī bātoñ meñ kyā ma.alūm kab so.e vo kab jaage

sire se is liye kahnī paḌī phir dāstāñ mujh ko

meri baaton mein kya malum kab soe wo kab jage

sire se is liye kahni paDi phir dastan mujh ko

nazar kahīñ nahīñ ab aate hazrat-e-nāseh

sunā hai ghar meñ kisī mah-laqā ke baiTh ga.e

nazar kahin nahin ab aate hazrat-e-naseh

suna hai ghar mein kisi mah-laqa ke baiTh gae

roz-e-siyah meñ saath koī de to jāniye

jab tak faroġh-e-sham.a hai parvāna saath hai

roz-e-siyah mein sath koi de to jaaniye

jab tak farogh-e-shama hai parwana sath hai

jo ahl-e-dil haiñ alag haiñ vo ahl-e-zāhir se

na maiñ huuñ shaiḳh jānib na barhaman taraf

jo ahl-e-dil hain alag hain wo ahl-e-zahir se

na main hun shaiKH ki jaanib na barhaman ki taraf

loTte rahte haiñ mujh par chāhne vāloñ ke dil

varna yuuñ poshāk terī malgajī hotī nahīñ

loTte rahte hain mujh par chahne walon ke dil

warna yun poshak teri malgaji hoti nahin

ka.aba o but-ḳhāna aarif nazar se dekhiye

ḳhvāb donoñ ek haiñ farq hai ta.abīr meñ

kaba o but-KHana aarif ki nazar se dekhiye

KHwab donon ek hi hain farq hai tabir mein

kiyā hai us ne har ik se visāl va.ada

is ishtiyāq meñ marnā zarūrī hotā hai

kiya hai us ne har ek se visal ka wada

is ishtiyaq mein marna zaruri hota hai

bichhaḌ ke tujh se mujhe hai umiid milne

sunā hai ruuh ko aanā hai phir badan taraf

bichhaD ke tujh se mujhe hai umid milne ki

suna hai ruh ko aana hai phir badan ki taraf

sahar ko uThte haiñ vo dekh kar kaf-e-rañgīñ

ab aa.ine pe bhī sikke hinā ke baiTh ga.e

sahar ko uThte hain wo dekh kar kaf-e-rangin

ab aaine pe bhi sikke hina ke baiTh gae

uḌaa.ī ḳhaak jis sahrā meñ tere vāste maiñ ne

thakā-māñda milā in manziloñ meñ āsmāñ mujh ko

uDai KHak jis sahra mein tere waste main ne

thaka-manda mila in manzilon mein aasman mujh ko

yuuñ maiñ sīdhā gayā vahshat meñ bayābāñ taraf

haath jis tarah se aatā hai garebāñ taraf

yun main sidha gaya wahshat mein bayaban ki taraf

hath jis tarah se aata hai gareban ki taraf

uḌ ke jaatī hai mirī ḳhaak idhar gaah udhar

kuchh patā de na ga.ī umr-e-gurezāñ apnā

uD ke jati hai meri KHak idhar gah udhar

kuchh pata de na gai umr-e-gurezan apna

nashshe meñ sūjhtī hai mujhe duur duur

naddī vo sāmne hai sharāb-e-tuhūr

nashshe mein sujhti hai mujhe dur dur ki

naddi wo samne hai sharab-e-tuhur ki

ne to apne dar se mujh ko uThā diyā hai

parchhā.īñ phir rahī hai merī usī galī meñ

tu ne to apne dar se mujh ko uTha diya hai

parchhain phir rahi hai meri usi gali mein

ye dil be-qarārī ḳhaak ho kar bhī na jā.egī

sunātī hai lab-e-sāhil se ye reg-e-ravāñ mujh ko

ye dil ki be-qarari KHak ho kar bhi na jaegi

sunati hai lab-e-sahil se ye reg-e-rawan mujh ko

dil is tarah havā-e-mohabbat meñ jal gayā

bhaḌkī kahīñ na aag na uTThā dhuāñ kahīñ

dil is tarah hawa-e-mohabbat mein jal gaya

bhaDki kahin na aag na uTTha dhuan kahin

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now