Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phiri hui meri aankhen hain tegh-zan ki taraf

Nazm Tabatabai

phiri hui meri aankhen hain tegh-zan ki taraf

Nazm Tabatabai

phirī huī mirī āñkheñ haiñ teġh-zan taraf

chalā hai chhoḌ ke bismil mujhe hiran taraf

banāyā toḌ ke ā.īna ā.īna-ḳhāna

na dekhī raah jo ḳhalvat se anjuman taraf

rah-e-vafā ko na chhoḌā vo andalīb huuñ maiñ

chhuTā qafas se to parvāz chaman taraf

gurez chāhiye tūl-e-amal se sālik ko

sunā hai raah ye jaatī hai rāhzan taraf

sarā-e-dahr meñ so.oge ġhāfilo kab tak

uTho to kyā tumheñ jaanā nahīñ vatan taraf

jo ahl-e-dil haiñ alag haiñ vo ahl-e-zāhir se

na maiñ huuñ shaiḳh jānib na barhaman taraf

jahān-e-hādsa-āgīn meñ bashar varūd

guzar habāb dariyā-e-maujzan taraf

isī umiid pe ham din ḳhizāñ ke kāTte haiñ

kabhī to bād-e-bahār aa.egī chaman taraf

bichhaḌ ke tujh se mujhe hai umiid milne

sunā hai ruuh ko aanā hai phir badan taraf

gavāh kaun mire qatl ho mahshar meñ

abhī se saarā zamāna hai teġh-zan taraf

ḳhabar uTh ke qayāmat ne us ke aane

ḳhudā ḳhair kare ruḳh hai anjuman taraf

vo apne ruḳh sabāhat ko aap dekhte haiñ

jhuke hue gul-e-nargis haiñ yāsman taraf

tamām bazm hai kyā mahv us bātoñ meñ

nazar dahan taraf kaan hai suḳhan taraf

asiir ho gayā dil gesuoñ meñ ḳhuub huā

chalā thā Duub ke marne chah-e-zaqan taraf

ye mai-kashoñ adā abr-e-tar bhī siikh ga.e

kinār-e-jū se jo uTThe chale chaman taraf

zahe-nasīb jo ho karbalā maut ai 'nazm'

ki uḌ ke ḳhāk-e-shifā aa.e ḳhud kafan taraf

phiri hui meri aankhen hain tegh-zan ki taraf

chala hai chhoD ke bismil mujhe hiran ki taraf

banaya toD ke aaina aaina-KHana

na dekhi rah jo KHalwat se anjuman ki taraf

rah-e-wafa ko na chhoDa wo andalib hun main

chhuTa qafas se to parwaz ki chaman ki taraf

gurez chahiye tul-e-amal se salik ko

suna hai rah ye jati hai rahzan ki taraf

sara-e-dahr mein sooge ghafilo kab tak

uTho to kya tumhein jaana nahin watan ki taraf

jo ahl-e-dil hain alag hain wo ahl-e-zahir se

na main hun shaiKH ki jaanib na barhaman ki taraf

jahan-e-hadsa-agin mein bashar ka warud

guzar habab ka dariya-e-maujzan ki taraf

isi umid pe hum din KHizan ke kaTte hain

kabhi to baad-e-bahaar aaegi chaman ki taraf

bichhaD ke tujh se mujhe hai umid milne ki

suna hai ruh ko aana hai phir badan ki taraf

gawah kaun mere qatl ka ho mahshar mein

abhi se sara zamana hai tegh-zan ki taraf

KHabar di uTh ke qayamat ne us ke aane ki

KHuda hi KHair kare ruKH hai anjuman ki taraf

wo apne ruKH ki sabahat ko aap dekhte hain

jhuke hue gul-e-nargis hain yasman ki taraf

tamam bazm hai kya mahw us ki baaton mein

nazar dahan ki taraf kan hai suKHan ki taraf

asir ho gaya dil gesuon mein KHub hua

chala tha Dub ke marne chah-e-zaqan ki taraf

ye mai-kashon ki ada abr-e-tar bhi sikh gae

kinar-e-ju se jo uTThe chale chaman ki taraf

zahe-nasib jo ho karbala ki maut ai 'nazm'

ki uD ke KHak-e-shifa aae KHud kafan ki taraf

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now