Sher of Hafeez Hoshiarpuri
mohabbat karne vaale kam na hoñge
tirī mahfil meñ lekin ham na hoñge
those that love you will not shrink
But I will be gone I think
mohabbat karne wale kam na honge
teri mahfil mein lekin hum na honge
those that love you will not shrink
But I will be gone I think
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dostī aam hai lekin ai dost
dost miltā hai baḌī mushkil se
friendship is commonplace my dear
but friends are hard to find I fear
dosti aam hai lekin ai dost
dost milta hai baDi mushkil se
friendship is commonplace my dear
but friends are hard to find I fear
zamāne bhar ke ġham yā ik tirā ġham
ye ġham hogā to kitne ġham na hoñge
your sorrow or a world of pain
if this be there none will remain
zamane bhar ke gham ya ek tera gham
ye gham hoga to kitne gham na honge
your sorrow or a world of pain
if this be there none will remain
-
Tag : Gham
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duniyā meñ haiñ kaam bahut
mujh ko itnā yaad na aa
duniya mein hain kaam bahut
mujh ko itna yaad na aa
dil se aatī hai baat lab pe 'hafīz'
baat dil meñ kahāñ se aatī hai
dil se aati hai baat lab pe 'hafiz'
baat dil mein kahan se aati hai
tamām umr tirā intizār ham ne kiyā
is intizār meñ kis kis se pyaar ham ne kiyā
tamam umr tera intizar hum ne kiya
is intizar mein kis kis se pyar hum ne kiya
agar tū ittifāqan mil bhī jaa.e
tirī furqat ke sadme kam na hoñge
even if perchance we meet
my ache for you will not deplete
agar tu ittifaqan mil bhi jae
teri furqat ke sadme kam na honge
even if perchance we meet
my ache for you will not deplete
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamām umr kiyā ham ne intizār-e-bahār
bahār aa.ī to sharminda haiñ bahār se ham
tamam umr kiya hum ne intizar-e-bahaar
bahaar aai to sharminda hain bahaar se hum
tire jaate hī ye aalam hai jaise
tujhe dekhe zamāna ho gayā hai
tere jate hi ye aalam hai jaise
tujhe dekhe zamana ho gaya hai
nazar se hadd-e-nazar tak tamām tārīkī
ye ehtimām hai ik va.ada-e-sahar ke liye
nazar se hadd-e-nazar tak tamam tariki
ye ehtimam hai ek wada-e-sahar ke liye
ham ko manzil ne bhī gumrāh kiyā
rāste nikle ka.ī manzil se
hum ko manzil ne bhi gumrah kiya
raste nikle kai manzil se
kahīñ ye tark-e-mohabbat kī ibtidā to nahīñ
vo mujh ko yaad kabhī is qadar nahīñ aa.e
kahin ye tark-e-mohabbat ki ibtida to nahin
wo mujh ko yaad kabhi is qadar nahin aae
dil meñ ik shor sā uThā thā kabhī
phir ye hañgāma umr bhar hī rahā
dil mein ek shor sa uTha tha kabhi
phir ye hangama umr bhar hi raha
tirī talāsh meñ jab ham kabhī nikalte haiñ
ik ajnabī kī tarah rāste badalte haiñ
teri talash mein jab hum kabhi nikalte hain
ek ajnabi ki tarah raste badalte hain
jab kabhī ham ne kiyā ishq pashemān hue
zindagī hai to abhī aur pashemāñ hoñge
jab kabhi hum ne kiya ishq pasheman hue
zindagi hai to abhi aur pasheman honge
tirī talāsh hai yā tujh se ijtināb hai ye
ki roz ek na.e rāste pe chalte haiñ
teri talash hai ya tujh se ijtinab hai ye
ki roz ek nae raste pe chalte hain
ye dilkashī kahāñ mirī shām-o-sahar meñ thī
duniyā tirī nazar kī badaulat nazar meñ hai
ye dilkashi kahan meri sham-o-sahar mein thi
duniya teri nazar ki badaulat nazar mein hai
ġham-e-zamāna tirī zulmateñ hī kyā kam thiiñ
ki baḌh chale haiñ ab in gesuoñ ke bhī saa.e
gham-e-zamana teri zulmaten hi kya kam thin
ki baDh chale hain ab in gesuon ke bhi sae
-
Tag : Zulf
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye tamīz-e-ishq-o-havas nahīñ hai haqīqatoñ se gurez hai
jinheñ ishq se sarokār hai vo zarūr ahl-e-havas bhī haiñ
ye tamiz-e-ishq-o-hawas nahin hai haqiqaton se gurez hai
jinhen ishq se sarokar hai wo zarur ahl-e-hawas bhi hain
ab yahī mere mashāġhil rah ga.e
sochnā aur jānib-e-dar dekhnā
ab yahi mere mashaghil rah gae
sochna aur jaanib-e-dar dekhna
ġham-e-zindagānī ke sab silsile
bil-āḳhir ġham-e-ishq se jā mile
gham-e-zindagani ke sab silsile
bil-aKHir gham-e-ishq se ja mile
ye baat kah ke huā nāḳhudā alag mujh se
ye hai safīna ye girdāb hai vo hai sāhil
ye baat kah ke hua naKHuda alag mujh se
ye hai safina ye girdab hai wo hai sahil
aah marg-e-ādmī par aadmī ro.e bahut
koī bhī royā na marg-e-ādamiyyat ke liye
aah marg-e-admi par aadmi roe bahut
koi bhi roya na marg-e-adamiyyat ke liye
jalva be-bāk adā shoḳh tamāshā gustāḳh
uTh ga.e bazm se ādāb-e-nazar mere baad
jalwa be-bak ada shoKH tamasha gustaKH
uTh gae bazm se aadab-e-nazar mere baad