Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya sal

Laiq Siddiqi

naya sal

Laiq Siddiqi

sahar ne masarrat naġhma sunāyā

fazā ne gulistāñ dāman sajāyā

havāoñ ne aḳhlāq giit gaaea

nigāhoñ se maazī parda uThāyā

nayā saal aaya nayā saal aaya

masarrat masarrat ke gun rahī hai

musāvāt ke phuul barsā rahī hai

sadā-e-salāmat-ravī aa rahī hai

zamīñ muskurā.ī falak muskurāyā

nayā saal aaya nayā saal aaya

ye hindostāñ ek āvāz hogā

ab insān insān dam-sāz hogā

na.e daur phir se āġhāz hogā

nayā san na.ī rut paiġhām laayā

nayā saal aaya nayā saal aaya

ta.assub parchhā.iyāñ ab na hoñgī

vo pichhlī saf-ārā.iyāñ ab na hoñgī

zamāne meñ rusvā.iyāñ ab na hoñgī

mohabbat māhaul har samt chhāyā

nayā saal aaya nayā saal aaya

na ā.inda aapas meñ raḳhne paḌeñge

na ā.inda apnī zidoñ par aḌeñge

'la.īq' ab na aapas meñ insāñ laḌeñge

yakum january ne ye muzhda sunāyā

nayā saal aaya nayā saal aaya

sahar ne masarrat ka naghma sunaya

faza ne gulistan ka daman sajaya

hawaon ne aKHlaq ka git gaea

nigahon se mazi ka parda uThaya

naya sal aaya naya sal aaya

masarrat masarrat ke gun ga rahi hai

musawat ke phul barsa rahi hai

sada-e-salamat-rawi aa rahi hai

zamin muskurai falak muskuraya

naya sal aaya naya sal aaya

ye hindostan ek aawaz hoga

ab insan insan ka dam-saz hoga

nae daur ka phir se aaghaz hoga

naya san nai rut ka paigham laya

naya sal aaya naya sal aaya

tassub ki parchhaiyan ab na hongi

wo pichhli saf-araiyan ab na hongi

zamane mein ruswaiyan ab na hongi

mohabbat ka mahaul har samt chhaya

naya sal aaya naya sal aaya

na aainda aapas mein raKHne paDenge

na aainda apni zidon par aDenge

'laiq' ab na aapas mein insan laDenge

yakum january ne ye muzhda sunaya

naya sal aaya naya sal aaya

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now