Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guftugu jo hoti hai sal-e-nau se ambar ki

Aleena Itrat

guftugu jo hoti hai sal-e-nau se ambar ki

Aleena Itrat

guftugū jo hotī hai sāl-e-nau se ambar

garm hone lagtī haiñ sardiyāñ december

jaane vaale lamhe to lauT kar nahīñ aate

kārobār-e-duniyā ke par ye ruk nahīñ paate

kyoñ na mas.ale saare is tarah se hal kar leñ

sāl-e-nau ke har pal ko pyaar ġhazal kar leñ

sajda-e-mohabbat se aao mo'atabar kar deñ

sāl-e-nau ke āñgan ko ḳhushbuoñ ghar kar deñ

tan-badan ummīdoñ ke phir se mahke mahke haiñ

ruḳh na.ī tamāzat se ḳhvāhishoñ ke dahke haiñ

ik nayā varaq kholeñ ham kitāb-e-hastī

dil sabaq paḌheñ phir se zindagī mastī

dil se dil ke milne nuqra.ī sadā.eñ hoñ

rañg-e-ishq-o-ulfat reshmī havā.eñ hoñ

dil ke saaz se phūTeñ yuuñ mohabbatoñ ke sur

hoñ ḳhushī ke ḳhvāboñ ke sur haqīqatoñ ke sur

amn aur tahaffuz se shaad phir raheñ ham sab

nafrateñ na bāñTeñ ab mulk qaum aur maz.hab

dahshatoñ lāshoñ par amn ridā Dāleñ

aur ḳhizāñ ke mausam ko fasl-e-gul banā Dāleñ

sāl-e-nau aamad par mushkileñ sabhī hāreñ

itnī hoñ añdheroñ par raushnī yalġhāreñ

mandir-o-masājid sab amn ke hoñ gahvāre

ḳhvāb 'alīnā' insāñ ke hoñ kabhī na banjāre

guftugu jo hoti hai sal-e-nau se ambar ki

garm hone lagti hain sardiyan december ki

jaane wale lamhe to lauT kar nahin aate

karobar-e-duniya ke par ye ruk nahin pate

kyon na masale sare is tarah se hal kar len

sal-e-nau ke har pal ko pyar ki ghazal kar len

sajda-e-mohabbat se aao mo'atabar kar den

sal-e-nau ke aangan ko KHushbuon ka ghar kar den

tan-badan ummidon ke phir se mahke mahke hain

ruKH nai tamazat se KHwahishon ke dahke hain

ek naya waraq kholen hum kitab-e-hasti ka

dil sabaq paDhen phir se zindagi ki masti ka

dil se dil ke milne ki nuqrai sadaen hon

rang-e-ishq-o-ulfat ki reshmi hawaen hon

dil ke saz se phuTen yun mohabbaton ke sur

hon KHushi ke KHwabon ke sur haqiqaton ke sur

amn aur tahaffuz se shad phir rahen hum sab

nafraten na banTen ab mulk qaum aur mazhab

dahshaton ki lashon par amn ki rida Dalen

aur KHizan ke mausam ko fasl-e-gul bana Dalen

sal-e-nau ki aamad par mushkilen sabhi haaren

itni hon andheron par raushni ki yalghaaren

mandir-o-masajid sab amn ke hon gahware

KHwab 'alina' insan ke hon kabhi na banjare

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now