Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dagh-e-firaq se kya puchho ho aag lagai sine mein

Meer Taqi Meer

dagh-e-firaq se kya puchho ho aag lagai sine mein

Meer Taqi Meer

dāġh-e-firāq se kyā pūchho ho aag lagā.ī siine meñ

chhātī se vo mah na lagā Tuk aa kar is bhī mahīne meñ

chaak huā dil TukḌe jigar hai lohū ro.e āñkhoñ se

ishq ne kyā kyā zulm dikhā.e das din ke is jiine meñ

gūñdh ke goyā pattī gul vo tarkīb banā.ī hai

rang badan tab dekho jab cholī bhīge pasīne meñ

is sūrat naaz na thā kuchh dab chaltā thā ham se bhī

jab tak dekhā un ne na thā muñh ḳhuub apnā ā.īne meñ

logoñ meñ islām ke ho na shohrat is rusvā.ī

shaiḳh ko pherā gadhe chaḌhā kar makke aur madīne meñ

dil na TaToleñ kāshke us sardī-e-mehr to zāhir hai

pāveñ us ko garm mubādā yaar hamāre kiine meñ

'mīr' ne kyā kyā zabt kiyā hai shauq meñ ashk-e-ḳhūnīñ ko

kahiye jo taqsīr huī ho apnā lohū piine meñ

dagh-e-firaq se kya puchho ho aag lagai sine mein

chhati se wo mah na laga Tuk aa kar is bhi mahine mein

chaak hua dil TukDe jigar hai lohu roe aankhon se

ishq ne kya kya zulm dikhae das din ke is jine mein

gundh ke goya patti gul ki wo tarkib banai hai

rang badan ka tab dekho jab choli bhige pasine mein

is surat ka naz na tha kuchh dab chalta tha hum se bhi

jab tak dekha un ne na tha munh KHub apna aaine mein

logon mein islam ke ho na shohrat is ruswai ki

shaiKH ko phera gadhe chaDha kar makke aur madine mein

dil na TaTolen kashke us ka sardi-e-mehr to zahir hai

pawen us ko garm mubaada yar hamare kine mein

'mir' ne kya kya zabt kiya hai shauq mein ashk-e-KHunin ko

kahiye jo taqsir hui ho apna lohu pine mein

Source :
  • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1460
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now