lab-o-dandan zanaKHdan par ghazal kahna qayamat hai
lab-o-dandāñ zanaḳhdāñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
ḳhayāl-e-zulf-e-yārāñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
ruḳh-e-tābān-e-jānāñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
siyah zulf-e-pareshāñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
tumhārī teġh-e-abrū haiñ mirī ġhazloñ ke do misre
tumhārī chashm-e-hairāñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
ḳhum-o-sāġhar pareshāñ haiñ sharāb-e-nāb hai hairāñ
tirī chashm-e-ġhazālāñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
kisī ke hijr meñ jalnā kabhī aañsū bahā denā
pighaltī sham'-e-armāñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
tajallī nuur kī bas hazrat-e-mūsā pe kī zāhir
charāġh-e-zer-e-dāmāñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
tumhāre lām-e-nastā'līq yā koī shab-e-hijrāñ
tumhāre tīr-e-mizhgāñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
laboñ ko kausar-o-tasnīm likhnā yuuñ to āsāñ hai
jamāl-e-māh-e-kan’āñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
gulāb-o-aḳhgar-o-yāqūt āḳhir maiñ kahūñ kyā kyā
tire lā’l-e-badaḳhshāñ par ġhazal kahnā qayāmat hai
lab-o-dandan zanaKHdan par ghazal kahna qayamat hai
KHayal-e-zulf-e-yaran par ghazal kahna qayamat hai
ruKH-e-taban-e-jaanan par ghazal kahna qayamat hai
siyah zulf-e-pareshan par ghazal kahna qayamat hai
tumhaari tegh-e-abru hain meri ghazlon ke do misre
tumhaari chashm-e-hairan par ghazal kahna qayamat hai
KHum-o-saghar pareshan hain sharab-e-nab hai hairan
teri chashm-e-ghazalan par ghazal kahna qayamat hai
kisi ke hijr mein jalna kabhi aansu baha dena
pighalti sham'-e-arman par ghazal kahna qayamat hai
tajalli nur ki bas hazrat-e-musa pe ki zahir
charagh-e-zer-e-daman par ghazal kahna qayamat hai
tumhaare lam-e-nasta'liq ya koi shab-e-hijran
tumhaare tir-e-mizhgan par ghazal kahna qayamat hai
labon ko kausar-o-tasnim likhna yun to aasan hai
jamal-e-mah-e-kan’an par ghazal kahna qayamat hai
gulab-o-aKHgar-o-yaqut aaKHir main kahun kya kya
tere la’l-e-badaKHshan par ghazal kahna qayamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.