dam-ba-dam gardish-e-haalat ka matlab kya hai
dam-ba-dam gardish-e-hālāt kā matlab kyā hai
bazm-e-hastī meñ savālāt kā matlab kyā hai
hijr kahte haiñ kise vasl kā matlab kyā hai
dard kyā shai hai 'ināyāt kā matlab kyā hai
tham ga.e aañkh kī dahlīz pe aa kar aañsū
yaad hai un ko rivāyāt kā matlab kyā hai
pā-ba-zanjīr sahī raqs kareñge ham log
'ishq meñ qaid-o-havālāt kā matlab kyā hai
chāk-dāmāñ hī sahī ḳhāk-badāmāñ hī sahī
jānte haiñ ki ḳharābāt kā matlab kyā hai
ab na saaqī hai na sāġhar hai na mai-ḳhāna hai
log kyā jāneñ 'ibādāt kā matlab kyā hai
sajda-e-shauq to mad.hosh hī kar saktā hai
ḳhushk-māthoñ pe nishānāt kā matlab kyā hai
ham faqīrān-e-mohabbat haiñ batā sakte haiñ
manzil-e-shauq-o-maqāmāt kā matlab kyā hai
kitne namrūd haiñ duniyā meñ nishān-e-‘ibrat
kaun samjhā.e mukāfāt kā matlab kyā hai
ek hī 'ahd-e-tamaddun hai ki jis meñ 'akram'
charḳh ne dekhā muvāḳhāt kā matlab kyā hai
dam-ba-dam gardish-e-haalat ka matlab kya hai
bazm-e-hasti mein sawalat ka matlab kya hai
hijr kahte hain kise wasl ka matlab kya hai
dard kya shai hai 'inayat ka matlab kya hai
tham gae aankh ki dahliz pe aa kar aansu
yaad hai un ko riwayat ka matlab kya hai
pa-ba-zanjir sahi raqs karenge hum log
'ishq mein qaid-o-hawalat ka matlab kya hai
chaak-daman hi sahi KHak-badaman hi sahi
jaante hain ki KHarabaat ka matlab kya hai
ab na saqi hai na saghar hai na mai-KHana hai
log kya jaanen 'ibaadat ka matlab kya hai
sajda-e-shauq to madhosh hi kar sakta hai
KHushk-mathon pe nishanat ka matlab kya hai
hum faqiran-e-mohabbat hain bata sakte hain
manzil-e-shauq-o-maqamat ka matlab kya hai
kitne namrud hain duniya mein nishan-e-‘ibrat
kaun samjhae mukafat ka matlab kya hai
ek hi 'ahd-e-tamaddun hai ki jis mein 'akram'
charKH ne dekha muwaKHat ka matlab kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.