rahat ka maqdur kahan tha gham hi gawara ho jata
rāhat kā maqdūr kahāñ thā ġham hī gavārā ho jaatā
ziist kā koī pahlū to jiine kā sahārā ho jaatā
vahshat kī ek ek adā meñ husn-e-bahārāñ arzāñ thā
'ahd-e-ḳhizāñ meñ dar-parda hī koī ishārā ho jaatā
koī nafas to 'unvāñ bantā zauq-e-sabāt-e-hastī kā
dam hī laboñ par aate aate naam tumhārā ho jaatā
mujh ko gavārā apnī hayāt-e-ġham kī ik ik mahrūmī
kaash har ik mahrūmī kā ehsās gavārā ho jaatā
ek nigāh-e-lutf se kyā kuchh zabt kī quvvat baḌh jaatī
pursish-e-ġham se aur to kyā haañ dil ko sahārā ho jaatā
'ālam ye ehsās-e-nazar kā ḳhud bhī nazar par baar haiñ ham
dil kahtā hai hashr-e-tajallī koī nazārā ho jaatā
tark-e-tamannā par dil-e-tanhā kyā kyā ġham-āmāda hai
phir bhī ye armān hai 'tābish' koī hamārā ho jaatā
rahat ka maqdur kahan tha gham hi gawara ho jata
zist ka koi pahlu to jine ka sahaara ho jata
wahshat ki ek ek ada mein husn-e-bahaaran arzan tha
'ahd-e-KHizan mein dar-parda hi koi ishaara ho jata
koi nafas to 'unwan banta zauq-e-sabaat-e-hasti ka
dam hi labon par aate aate nam tumhaara ho jata
mujh ko gawara apni hayat-e-gham ki ek ek mahrumi
kash har ek mahrumi ka ehsas gawara ho jata
ek nigah-e-lutf se kya kuchh zabt ki quwwat baDh jati
pursish-e-gham se aur to kya han dil ko sahaara ho jata
'alam ye ehsas-e-nazar ka KHud bhi nazar par bar hain hum
dil kahta hai hashr-e-tajalli koi nazara ho jata
tark-e-tamanna par dil-e-tanha kya kya gham-amada hai
phir bhi ye arman hai 'tabish' koi hamara ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.