Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu qarib aae to qurbat ka yun izhaar karun

Nida Fazli

tu qarib aae to qurbat ka yun izhaar karun

Nida Fazli

qarīb aa.e to qurbat yuuñ iz.hār karūñ

aa.ina sāmne rakh kar tirā dīdār karūñ

sāmne tere karūñ haar apnī elaan

aur akele meñ tirī jiit se inkār karūñ

pahle sochūñ use phir us banā.ūñ tasvīr

aur phir us meñ paidā dar-o-dīvār karūñ

mire qabze meñ na miTTī hai na bādal na havā

phir bhī chāhat hai ki har shāḳh samar-bār karūñ

sub.h hote ubhar aatī hai sālim ho kar

vahī dīvār jise roz maiñ mismār karūñ

tu qarib aae to qurbat ka yun izhaar karun

aaina samne rakh kar tera didar karun

samne tere karun haar ka apni elan

aur akele mein teri jit se inkar karun

pahle sochun use phir us ki banaun taswir

aur phir us mein hi paida dar-o-diwar karun

mere qabze mein na miTTi hai na baadal na hawa

phir bhi chahat hai ki har shaKH samar-bar karun

subh hote hi ubhar aati hai salim ho kar

wahi diwar jise roz main mismar karun

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now