ho shoKH colour gora badan tikha libaada
ho shoḳh colour gorā badan tīkhā libāda
apnī to talab ek hai peshānī kushāda
is shahr meñ kyā karnā hai 'ushshāq ne rah kar
is shahr meñ sāġhar hai na miinā hai na baada
jiinā hai to jiinā hai faqat tere sahāre
apnī maiñ batā.ūñ to yahī ek irāda
chāhūñ bhī to maiñ shukr adā kar nahīñ pā.ūñ
in'ām tire mujh pe haiñ kuchh itne ziyāda
paaoñ to salāmat haiñ agar juute nahīñ to
shākir huuñ ḳhudāyā maiñ tirā pair piyāda
har chaal zamāne kī samajhtā hai 'buḳhārī'
saada hai magar itnā bhī 'āsim' nahīñ saada
ho shoKH colour gora badan tikha libaada
apni to talab ek hai peshani kushada
is shahr mein kya karna hai 'ushshaq ne rah kar
is shahr mein saghar hai na mina hai na baada
jina hai to jina hai faqat tere sahaare
apni main bataun to yahi ek irada
chahun bhi to main shukr ada kar nahin paun
in'am tere mujh pe hain kuchh itne ziyaada
paon to salamat hain agar jute nahin to
shakir hun KHudaya main tera pair piyaada
har chaal zamane ki samajhta hai 'buKHari'
sada hai magar itna bhi 'asim' nahin sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.