karwan-e-zindagani hai rawan apni jagah
kārvān-e-zindagānī hai ravāñ apnī jagah
sāz-e-dil apnī jagah hai soz-e-jāñ apnī jagah
kuchh nahīñ badlā kahīñ tere bichhaḌ jaane ke baa'd
ye zamīñ apnī jagah vo āsmāñ apnī jagah
maslahat ye bhī ḳhudā kī dekhne kī chiiz hai
munjamid māhaul meñ sail-e-ravāñ apnī jagah
vaqt kī raftār kā dil par asar hotā nahīñ
ḳhvāhisheñ apnī jagah 'umr-e-ravāñ apnī jagah
mashq kartī huuñ musalsal bhuul jaane kī use
naam us kā hai magar vird-e-zabāñ apnī jagah
mo'tabar donoñ haiñ 'mīnā' ek bhī kamtar nahīñ
ahl-e-dil apnī jagah ahl-e-zabāñ apnī jagah
karwan-e-zindagani hai rawan apni jagah
saz-e-dil apni jagah hai soz-e-jaan apni jagah
kuchh nahin badla kahin tere bichhaD jaane ke ba'd
ye zamin apni jagah wo aasman apni jagah
maslahat ye bhi KHuda ki dekhne ki chiz hai
munjamid mahaul mein sail-e-rawan apni jagah
waqt ki raftar ka dil par asar hota nahin
KHwahishen apni jagah 'umr-e-rawan apni jagah
mashq karti hun musalsal bhul jaane ki use
nam us ka hai magar wird-e-zaban apni jagah
mo'tabar donon hain 'mina' ek bhi kamtar nahin
ahl-e-dil apni jagah ahl-e-zaban apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.