Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai

Hafeez Jalandhari

kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai

Hafeez Jalandhari

kyuuñ hijr ke shikve kartā hai kyuuñ dard ke rone rotā hai

ab ishq kiyā to sabr bhī kar is meñ to yahī kuchh hotā hai

āġhāz-e-musībat hotā hai apne dil shāmat se

āñkhoñ meñ phuul khilātā hai talvoñ meñ kāñTe botā hai

ahbāb shikva kyā kījiye ḳhud zāhir o bātin ek nahīñ

lab uupar uupar hañste haiñ dil andar andar rotā hai

mallāhoñ ko ilzām na do tum sāhil vaale kyā jaano

ye tūfāñ kaun uThātā hai ye kashtī kaun Dubotā hai

kyā jāniye ye kyā kho.egā kyā jāniye ye kyā pā.egā

mandir pujārī jāgtā hai masjid namāzī sotā hai

ḳhairāt jannat Thukrā de hai shaan yahī ḳhuddārī

jannat se nikālā thā jis ko us aadam potā hai

kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai

ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai

aaghaz-e-musibat hota hai apne hi dil ki shamat se

aankhon mein phul khilata hai talwon mein kanTe bota hai

ahbab ka shikwa kya kijiye KHud zahir o baatin ek nahin

lab upar upar hanste hain dil andar andar rota hai

mallahon ko ilzam na do tum sahil wale kya jaano

ye tufan kaun uThata hai ye kashti kaun Dubota hai

kya jaaniye ye kya khoega kya jaaniye ye kya paega

mandir ka pujari jagta hai masjid ka namazi sota hai

KHairaat ki jannat Thukra de hai shan yahi KHuddari ki

jannat se nikala tha jis ko tu us aadam ka pota hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now