Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh tujhko KHabar hai hum kya kya ai shorish-e-dauran bhul gae

Asrarul Haq Majaz

kuchh tujhko KHabar hai hum kya kya ai shorish-e-dauran bhul gae

Asrarul Haq Majaz

MORE BYAsrarul Haq Majaz

    kuchh tujh ko ḳhabar hai ham kyā kyā ai shorish-e-daurāñ bhuul ga.e

    vo zulf-e-pareshāñ bhuul ga.e vo dīda-e-giryāñ bhuul ga.e

    ai shauq-e-nazāra kyā kahiye nazroñ meñ koī sūrat nahīñ

    ai zauq-e-tasavvur kyā kiije ham sūrat-e-jānāñ bhuul ga.e

    ab gul se nazar miltī nahīñ ab dil kalī khiltī nahīñ

    ai fasl-e-bahārāñ ruḳhsat ho ham lutf-e-bahārāñ bhuul ga.e

    sab to mudāvā kar Daalā apnā mudāvā kar na sake

    sab ke to garebāñ Daale apnā garebāñ bhuul ga.e

    ye apnī vafā aalam hai ab un jafā ko kyā kahiye

    ik nishtar-e-zahr-āgīñ rakh kar nazdīk-e-rag-e-jāñ bhuul ga.e

    kuchh tujh ko KHabar hai hum kya kya ai shorish-e-dauran bhul gae

    wo zulf-e-pareshan bhul gae wo dida-e-giryan bhul gae

    ai shauq-e-nazara kya kahiye nazron mein koi surat hi nahin

    ai zauq-e-tasawwur kya kije hum surat-e-jaanan bhul gae

    ab gul se nazar milti hi nahin ab dil ki kali khilti hi nahin

    ai fasl-e-bahaaran ruKHsat ho hum lutf-e-bahaaran bhul gae

    sab ka to mudawa kar Dala apna hi mudawa kar na sake

    sab ke to gareban si Dale apna hi gareban bhul gae

    ye apni wafa ka aalam hai ab un ki jafa ko kya kahiye

    ek nishtar-e-zahr-agin rakh kar nazdik-e-rag-e-jaan bhul gae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Urdu Studio

    Urdu Studio

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Asrarul Haq Majaz

    Asrarul Haq Majaz,

    Asrarul Haq Majaz

    Asrarul Haq Majaz,

    Nomaan Shauque

    kuchh tujhko KHabar hai hum kya kya ai shorish-e-dauran bhul gae Nomaan Shauque

    Asrarul Haq Majaz

    kuchh tujhko KHabar hai hum kya kya ai shorish-e-dauran bhul gae Asrarul Haq Majaz

    Asrarul Haq Majaz

    kuchh tujhko KHabar hai hum kya kya ai shorish-e-dauran bhul gae Asrarul Haq Majaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now