Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya

Hafeez Jalandhari

koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya

Hafeez Jalandhari

koī davā na de sake mashvara-e-duā diyā

chāragaroñ ne aur bhī dil dard baḌhā diyā

donoñ ko de ke sūrateñ saath aa.ina diyā

'ishq bisorne lagā husn ne muskurā diyā

zauq-e-nigāh ke sivā shauq-e-gunāh ke sivā

mujh ko butoñ se kyā milā mujh ko ḳhudā ne kyā diyā

thī na ḳhizāñ rok-thām dāman-e-iḳhtiyār meñ

ham ne bharī bahār meñ apnā chaman luTā diyā

husn-e-nazar aabrū san.at-e-barhaman se hai

jis ko sanam banā liyā us ko ḳhudā banā diyā

daaġh hai mujh pe 'ishq merā gunāh bhī to dekh

us nigāh bhī to dekh jis ne ye gul khilā diyā

'ishq mamlikat meñ hai shorish-e-aql-e-nā-murād

ubhrā kahīñ jo ye fasād dil ne vahīñ dabā diyā

naqsh-e-vafā to maiñ thā ab mujhe DhūñDte ho kyā

harf-e-ġhalat nazar paḌā tum ne mujhe miTā diyā

ḳhubs-e-darūñ dikhā diyā har dahan-e-ġhalīz ne

kuchh na kahā 'hafīz' ne hañs diyā muskurā diyā

koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya

chaaragaron ne aur bhi dil ka dard baDha diya

donon ko de ke suraten sath hi aaina diya

'ishq bisorne laga husn ne muskura diya

zauq-e-nigah ke siwa shauq-e-gunah ke siwa

mujh ko buton se kya mila mujh ko KHuda ne kya diya

thi na KHizan ki rok-tham daman-e-iKHtiyar mein

hum ne bhari bahaar mein apna chaman luTa diya

husn-e-nazar ki aabru sanat-e-barhaman se hai

jis ko sanam bana liya us ko KHuda bana diya

dagh hai mujh pe 'ishq ka mera gunah bhi to dekh

us ki nigah bhi to dekh jis ne ye gul khila diya

'ishq ki mamlikat mein hai shorish-e-aql-e-na-murad

ubhra kahin jo ye fasad dil ne wahin daba diya

naqsh-e-wafa to main hi tha ab mujhe DhunDte ho kya

harf-e-ghalat nazar paDa tum ne mujhe miTa diya

KHubs-e-darun dikha diya har dahan-e-ghaliz ne

kuchh na kaha 'hafiz' ne hans diya muskura diya

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now