har taraf se nazron ka war qatilana hai
har taraf se nazroñ kā vaar qātilāna hai
ik taraf akelā dil ik taraf zamāna hai
ḳhud Dubo ke kashtī ko ġham kī tah ko paanā hai
zindagī kī TuuTī naav ghaaT se lagānā hai
tez-rau havāoñ meñ ik charāġh-e-hasrat huuñ
jin kī har adā qātil un se dostāna hai
dekh le nazar bhar kar barq kī nahīñ himmat
vaqt kī nigāhoñ meñ merā āshiyāna hai
pā ke chhoḌ duuñ kyūñkar DhūñDtā phirūñ har-sū
tū to Thahrā harjā.ī terā kyā Thikāna hai
le ke laash hastī kī tum kaho kidhar jā.ūñ
haath meñ muqaddar ke ab to tāziyāna hai
tarse hoñT Duube haiñ sāġhar-e-mohabbat meñ
zahr ho ki amrit ho pyaas to bujhānā hai
kaash maiñ 'munīr' un se is qadar to keh saktā
aap se mohabbat hai aur vālihāna hai
har taraf se nazron ka war qatilana hai
ek taraf akela dil ek taraf zamana hai
KHud Dubo ke kashti ko gham ki tah ko pana hai
zindagi ki TuTi naw ghaT se lagana hai
tez-rau hawaon mein ek charagh-e-hasrat hun
jin ki har ada qatil un se dostana hai
dekh le nazar bhar kar barq ki nahin himmat
waqt ki nigahon mein mera aashiyana hai
pa ke chhoD dun kyunkar DhunDta phirun har-su
tu to Thahra harjai tera kya Thikana hai
le ke lash hasti ki tum kaho kidhar jaun
hath mein muqaddar ke ab to taziyana hai
tarse honT Dube hain saghar-e-mohabbat mein
zahr ho ki amrit ho pyas to bujhana hai
kash main 'munir' un se is qadar to keh sakta
aap se mohabbat hai aur walihana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.