Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun

Aftab Hussain

kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun

Aftab Hussain

kahāñ kisī pe ye ehsān karne vaalā huuñ

maiñ apne aap ko hairān karne vaalā huuñ

ajiib rañg ḳhushbū hai mere kiise meñ

maiñ shahr bhar ko pareshān karne vaalā huuñ

khilā rahegā kisī yaad ke jazīre par

ye baaġh maiñ jise vīrān karne vaalā huuñ

duā.eñ māñgtā huuñ sab zindagī ke liye

aur apnī maut sāmān karne vaalā huuñ

kuchh aur tarah mushkil meñ Dālne ke liye

maiñ apnī zindagī āsān karne vaalā huuñ

kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun

main apne aap ko hairan karne wala hun

ajib rang ki KHushbu hai mere kise mein

main shahr bhar ko pareshan karne wala hun

khila rahega kisi yaad ke jazire par

ye bagh main jise viran karne wala hun

duaen mangta hun sab ki zindagi ke liye

aur apni maut ka saman karne wala hun

kuchh aur tarah ki mushkil mein Dalne ke liye

main apni zindagi aasan karne wala hun

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

kahan kisi pe ye ehsan karne wala hun Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now