un ko mere ulu-e-suKHan se hai kyun hasad
un ko mire 'ulū-e-suḳhan se hai kyuuñ hasad
māchis kī tīliyoñ ke barābar haiñ jin ke qad
siine meñ nāchtī hai zamīñ dil meñ āsmāñ
chhūtā hai dast-e-fikr mah-o-mehr ke jasad
mujh ko ye faḳhr hai ki maiñ farzand-e-ḳhāk huuñ
ḳhurshīd-o-māhtāb nahīñ mere abb-o-jad
āġhāz bhī hayāt hai anjām bhī hayāt
ik raushnī azal hai to ik raushnī abad
'sahbā' nisār us pe suḳhan ke hazār rang
jis ne mirī ġhazal ko diye haiñ ye ḳhāl-o-ḳhad
un ko mere 'ulu-e-suKHan se hai kyun hasad
machis ki tiliyon ke barabar hain jin ke qad
sine mein nachti hai zamin dil mein aasman
chhuta hai dast-e-fikr mah-o-mehr ke jasad
mujh ko ye faKHr hai ki main farzand-e-KHak hun
KHurshid-o-mahtab nahin mere abb-o-jad
aaghaz bhi hayat hai anjam bhi hayat
ek raushni azal hai to ek raushni abad
'sahba' nisar us pe suKHan ke hazar rang
jis ne meri ghazal ko diye hain ye KHal-o-KHad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.