na ajnabi ki tarah aur na aashna ki tarah
na ajnabī kī tarah aur na āshnā kī tarah
vo mere paas se guzrā magar havā kī tarah
simaT na jaa.e kahīñ āhaToñ meñ larzish-e-dil
miTā rahā hai koī mujh ko naqsh-e-pā kī tarah
havā se duur rahī terī baat kī ḳhushbū
koī bhī jhoñkā na aayā tirī sadā kī tarah
tire jamāl kī rā'nā.iyoñ kā zikr hī kyā
abhī to chamkī thī bijlī tirī adā kī tarah
tamām 'umr isī chup kī justujū meñ rahā
mire vujūd meñ utrī thī jo sadā kī tarah
ye vāqi'a hai ki insāñ ke bhes meñ 'nāsir'
har ek shaḳhs dikhā.ī diyā ḳhudā kī tarah
na ajnabi ki tarah aur na aashna ki tarah
wo mere pas se guzra magar hawa ki tarah
simaT na jae kahin aahaTon mein larzish-e-dil
miTa raha hai koi mujh ko naqsh-e-pa ki tarah
hawa se dur rahi teri baat ki KHushbu
koi bhi jhonka na aaya teri sada ki tarah
tere jamal ki ra'naiyon ka zikr hi kya
abhi to chamki thi bijli teri ada ki tarah
tamam 'umr isi chup ki justuju mein raha
mere wujud mein utri thi jo sada ki tarah
ye waqi'a hai ki insan ke bhes mein 'nasir'
har ek shaKHs dikhai diya KHuda ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.