Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din raat kis ki yaad thi kaisa malal tha

Qayem Chaandpuri

din raat kis ki yaad thi kaisa malal tha

Qayem Chaandpuri

din raat kis yaad thī kaisā malāl thā

sadqe meñ kuchh to bol kyā tujh pe haal thā

chhūTā tirā marīz agar mar gayā ki shoḳh

jo dam thā zindagī so us par vabāl thā

nāḳhun tire mehñdī se tanhā nahīñ haiñ daaġh

chande shafaq se na.al-dar-ātish hilāl thā

is soch se khulī hai haqīqat ki ek umr

makkhī farj o shaiḳh dāḌhī baal thā

jhagḌā mirā kiyā na tiiñ saaf varna shoḳh

zarra zabāñ pe teġh ye infisāl thā

'qā.em' maiñ reḳhta ko diyā ḳhil.at-e-qubūl

varna ye pesh-e-ahl-e-hunar kyā kamāl thā

din raat kis ki yaad thi kaisa malal tha

sadqe mein kuchh to bol tu kya tujh pe haal tha

chhuTa tera mariz agar mar gaya ki shoKH

jo dam tha zindagi ka so us par wabaal tha

naKHun tere ki mehndi se tanha nahin hain dagh

chande shafaq se nal-dar-atish hilal tha

is soch se khuli hai haqiqat ki ek umr

makkhi ki farj o shaiKH ki daDhi ka baal tha

jhagDa mera kiya hi na tin saf warna shoKH

zarra zaban pe tegh ki ye infisal tha

'qaem' main reKHta ko diya KHilat-e-qubul

warna ye pesh-e-ahl-e-hunar kya kamal tha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now