Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dariya ne kal jo chup ka libaada pahan liya

Bedil Haidri

dariya ne kal jo chup ka libaada pahan liya

Bedil Haidri

dariyā ne kal jo chup libāda pahan liyā

pyāsoñ ne apne jism pe sahrā pahan liyā

vo TaaT qabā thī ki kāġhaz pairahan

jaisā bhī mil gayā hameñ vaisā pahan liyā

fāqoñ se tang aa.e to poshāk bech

uryāñ hue to shab añdherā pahan liyā

garmī lagī to ḳhud se alag ho ke so ga.e

sardī lagī to ḳhud ko dobāra pahan liyā

bhauñchāl meñ kafan zarūrat nahīñ paḌī

har laash ne makān malba pahan liyā

'bedil' libās-e-zīst baḌā dīda-zeb thā

aur ham ne is libās ko ulTā pahan liyā

dariya ne kal jo chup ka libaada pahan liya

pyason ne apne jism pe sahra pahan liya

wo TaT ki qaba thi ki kaghaz ka pairahan

jaisa bhi mil gaya hamein waisa pahan liya

faqon se tang aae to poshak bech di

uryan hue to shab ka andhera pahan liya

garmi lagi to KHud se alag ho ke so gae

sardi lagi to KHud ko dobara pahan liya

bhaunchaal mein kafan ki zarurat nahin paDi

har lash ne makan ka malba pahan liya

'bedil' libas-e-zist baDa dida-zeb tha

aur hum ne is libas ko ulTa pahan liya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now