zarf-e-‘ali hun ki bhar kar bhi kabhi chhalka nahin
zarf-e-‘ālī huuñ ki bhar kar bhī kabhī chhalkā nahīñ
huuñ vo dariyā jo kināroñ par kabhī bahtā nahīñ
huuñ vo paimāna ki mahfil jis ko hāthoñ haath le
maiñ vo nashsha huuñ jo sar chaḌh kar kabhī utrā nahīñ
kisht-e-hastī tū mujhe pahchān terī aas huuñ
maiñ vo bādal huuñ jo ab tak TuuT kar barsā nahīñ
ḳhvāb huuñ lekin agar tā'bīr ḳhud apnī karūñ
maiñ nahīñ yā phir mirī duniyā kā ye naqsha nahīñ
duuñ kise āvāz apne aap ko kaise jagā.ūñ
tū mire dil meñ to hai lekin mirī suntā nahīñ
is faqīrī meñ bhī lalchātī hai duniyā kī jhalak
maiñ kahūñ kaise ki us ke paas se guzrā nahīñ
thā havāoñ par magar nīchī thī kuchh aisī uḌaan
maiñ ye samjhā dil pe utregā magar utrā nahīñ
fāsle qurbat bane ab qurbateñ haiñ fāsla
vo jo pahlū meñ hai mere dhyān meñ aatā nahīñ
dekhte ho tum jise har aan mere saath saath
vo mirī āshuftagī hai vo mirā saaya nahīñ
'izzat-e-sādāt hai mahfūz 'bāqar' mere paas
maiñ vo 'āshiq huuñ jo ab tak shahr meñ rusvā nahīñ
zarf-e-‘ali hun ki bhar kar bhi kabhi chhalka nahin
hun wo dariya jo kinaron par kabhi bahta nahin
hun wo paimana ki mahfil jis ko hathon hath le
main wo nashsha hun jo sar chaDh kar kabhi utra nahin
kisht-e-hasti tu mujhe pahchan teri aas hun
main wo baadal hun jo ab tak TuT kar barsa nahin
KHwab hun lekin agar ta'bir KHud apni karun
main nahin ya phir meri duniya ka ye naqsha nahin
dun kise aawaz apne aap ko kaise jagaun
tu mere dil mein to hai lekin meri sunta nahin
is faqiri mein bhi lalchati hai duniya ki jhalak
main kahun kaise ki us ke pas se guzra nahin
tha hawaon par magar nichi thi kuchh aisi uDan
main ye samjha dil pe utrega magar utra nahin
fasle qurbat bane ab qurbaten hain fasla
wo jo pahlu mein hai mere dhyan mein aata nahin
dekhte ho tum jise har aan mere sath sath
wo meri aashuftagi hai wo mera saya nahin
'izzat-e-sadat hai mahfuz 'baqar' mere pas
main wo 'ashiq hun jo ab tak shahr mein ruswa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.