Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere mazaq-e-suKHan ko suKHan ki tab nahin

Hafeez Jalandhari

mere mazaq-e-suKHan ko suKHan ki tab nahin

Hafeez Jalandhari

MORE BYHafeez Jalandhari

    mire mazāq-e-suḳhan ko suḳhan kī taab nahīñ

    suḳhan hai nāla-e-dil naġhma-e-rabāb nahīñ

    agar vo fitna koī fitna-e-shabāb nahīñ

    to hashr mere liye vaj.h-e-iztirāb nahīñ

    nahīñ sharāb kī pāband zindagī merī

    ye ik nasha hai jo ālūda-e-sharāb nahīñ

    mujhe zalīl na kar ‘uzr-e-lan-tarānī se

    ye ahl-e-zauq kī tauhīn hai javāb nahīñ

    jo kāmyāb-e-mohabbat ho sāmne aa.e

    maiñ kāmyāb nahīñ haañ maiñ kāmyāb nahīñ

    qafas meñ zamzama-pairā hai rūh-e-āzādī

    sadā-e-murġh-e-nafas hai nafīr-e-ḳhvāb nahīñ

    usī kī sharm hai merī nigāh kā parda

    vo be-hijāb sahī maiñ to be-hijāb nahīñ

    sunā hai maiñ ne bhī zikr-e-bahisht-o-hūr-o-tahūr

    ḳhudā kā shukr ki nīyat mirī ḳharāb nahīñ

    suḳhanvarān-e-vatan sab haiñ āftāb-e-kamāl

    to kyuuñ kahūñ ki maiñ zarra huuñ āftāb nahīñ

    bayān-e-dard ko dil chāhiye janāb-e-'hafīz'

    faqat zabān yahāñ qābil-e-ḳhitāb nahīñ

    mere mazaq-e-suKHan ko suKHan ki tab nahin

    suKHan hai nala-e-dil naghma-e-rabab nahin

    agar wo fitna koi fitna-e-shabab nahin

    to hashr mere liye wajh-e-iztirab nahin

    nahin sharab ki paband zindagi meri

    ye ek nasha hai jo aaluda-e-sharab nahin

    mujhe zalil na kar ‘uzr-e-lan-tarani se

    ye ahl-e-zauq ki tauhin hai jawab nahin

    jo kaamyab-e-mohabbat ho samne aae

    main kaamyab nahin han main kaamyab nahin

    qafas mein zamzama-paira hai ruh-e-azadi

    sada-e-murgh-e-nafas hai nafir-e-KHwab nahin

    usi ki sharm hai meri nigah ka parda

    wo be-hijab sahi main to be-hijab nahin

    suna hai main ne bhi zikr-e-bahisht-o-hur-o-tahur

    KHuda ka shukr ki niyat meri KHarab nahin

    suKHanwaran-e-watan sab hain aaftab-e-kamal

    to kyun kahun ki main zarra hun aaftab nahin

    bayan-e-dard ko dil chahiye janab-e-'hafiz'

    faqat zaban yahan qabil-e-KHitab nahin

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning

    Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

    Speak Now