kaise maanuu.n hai tuu judaa mujh se soch kar dil niDhaal hotaa hai
Interesting Fact
Drama:Ahd-e-vafa-2019
kaise maanuu.n hai tuu judaa mujh se soch kar dil niDhaal hotaa hai
tuu nahii.n saamne magar phir bhii dil me.n teraa KHayaal hotaa hai
terii ek adaa ke naam kiyaa sab 'ahd-e-vafaa ke naam kiyaa
aa.nkho.n ke dar pe baiThe hai.n kuchh yaar puraane aur ik tum
dil se ho kar guzre mere vo biite zamaane aur ik tum

yaaro.n ke sukh bhii aur Gam bhii tirii yaado.n ke ye mausam bhii
aa.nkho.n me.n utraa ye nam bhii ye raste bhii aur hamdam bhii
tuu lagtaa hai pyaaraa itnaa is mere dil me.n hai jitnaa

jiine kii baat se yaad aayaa kis haal me.n tum rahte hoge
jo keh sakte the bas mujh se kis ko jaa kar kahte hoge
ik dil hii bachaa thaa paas apne vo bhii ham haar ke aa.e hai.n
ik tere ho.nTo.n ke sadqe sab KHushiyaa.n vaar ke aa.e hai.n
rang aa.nkho.n kaa tirii yaado.n saa vo lahja terii baato.n kaa
vo KHushbuu tere aane kii vo dhaagaa tere vaa'do.n kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.