hoshiyari dil-e-nadan bahut karta hai
hoshiyārī dil-e-nādān bahut kartā hai
ranj kam sahtā hai elaan bahut kartā hai
raat ko jiit to paatā nahīñ lekin ye charāġh
kam se kam raat kā nuqsān bahut kartā hai
aaj kal apnā safar tai nahīñ kartā koī
haañ safar kā sar-o-sāmān bahut kartā hai
hoshiyari dil-e-nadan bahut karta hai
ranj kam sahta hai elan bahut karta hai
raat ko jit to pata nahin lekin ye charagh
kam se kam raat ka nuqsan bahut karta hai
aaj kal apna safar tai nahin karta koi
han safar ka sar-o-saman bahut karta hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 124)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.