Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr mein guzri hai us raat ki baaten na karo

Abdul Mateen Niyaz

hijr mein guzri hai us raat ki baaten na karo

Abdul Mateen Niyaz

hijr meñ guzrī hai us raat bāteñ na karo

aap tajdīd-e-mulāqāt bāteñ na karo

dil ne har daur meñ duniyā se baġhāvat hai

dil se tum rasm-o-rivāyāt bāteñ na karo

himmateñ qāfile vāloñ na hoñ past kahīñ

rahrav-e-gardish-e-hālāt bāteñ na karo

chāhiye josh-e-talab mere shikasta-dil ko

aise hālāt meñ sadmāt bāteñ na karo

zindagī aur bhī tashrīh-talab hai yaaro

ġham ke tapte hue lamhāt bāteñ na karo

kitne zaḳhm hare haiñ mire siine meñ 'niyāz'

aap ab mujh se ināyāt bāteñ na karo

hijr mein guzri hai us raat ki baaten na karo

aap tajdid-e-mulaqat ki baaten na karo

dil ne har daur mein duniya se baghawat ki hai

dil se tum rasm-o-riwayat ki baaten na karo

himmaten qafile walon ki na hon past kahin

rahraw-e-gardish-e-haalat ki baaten na karo

chahiye josh-e-talab mere shikasta-dil ko

aise haalat mein sadmat ki baaten na karo

zindagi aur bhi tashrih-talab hai yaro

gham ke tapte hue lamhat ki baaten na karo

kitne hi zaKHm hare hain mere sine mein 'niyaz'

aap ab mujh se inayat ki baaten na karo

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now