ALL
Profile
Ghazal70
Nazm8
Sher182
E-book138
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari21
Quote26
Audio26
Video36
Rubai61
Qisse21
Article12
Gallery 6
Tanz-o-Mazah1
Blog4
Other
Firaq Gorakhpuri
Ghazal 70
Nazm 8
Sher-o-Shayari 182
ek muddat se tirī yaad bhī aa.ī na hameñ
aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe aisā bhī nahīñ
ek muddat se teri yaad bhi aai na hamein
aur hum bhul gae hon tujhe aisa bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
bahut pahle se un qadmoñ kī aahaT jaan lete haiñ
tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ
bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain
-
Share this
- See Ghazal
koī samjhe to ek baat kahūñ
ishq taufīq hai gunāh nahīñ
if someone were to listen, one thing I will opine
Love is not a crime forsooth it is grace divine
koi samjhe to ek baat kahun
ishq taufiq hai gunah nahin
if someone were to listen, one thing I will opine
Love is not a crime forsooth it is grace divine
-
Share this
- Translation
tum muḳhātib bhī ho qarīb bhī ho
tum ko dekheñ ki tum se baat kareñ
You're in front and near me too
Should I converse or look at you?
tum muKHatib bhi ho qarib bhi ho
tum ko dekhen ki tum se baat karen
You're in front and near me too
Should I converse or look at you?
-
Share this
- Translation
maut kā bhī ilaaj ho shāyad
zindagī kā koī ilaaj nahīñ
for death a cure there well may be
but for this life no remedy
maut ka bhi ilaj ho shayad
zindagi ka koi ilaj nahin
for death a cure there well may be
but for this life no remedy
-
Share this
- Translation
Quote 26
Rubai 61
Qisse 21
Article 12
BOOKS 138
Image Shayari 21
tumhe.n kyuu.nkar bataa.e.n zindagii ko kyaa samajhte hai.n samajh lo saa.ns lenaa KHud-kushii karnaa samajhte hai.n kisii badmast ko raaz-aashnaa sab kaa samajhte hai.n nigaah-e-yaar tujh ko kyaa bataa.e.n kyaa samajhte hai.n bas itne par hame.n sab log diivaana samajhte hai.n ki is duniyaa ko ham ik duusrii duniyaa samajhte hai.n kahaa.n kaa vasl tanhaa.ii ne shaayad bhes badlaa hai tire dam bhar ke mil jaane ko ham bhii kyaa samajhte hai.n umiido.n me.n bhii un kii ek shaan-e-be-niyaazii hai har aasaanii ko jo dushvaar ho jaanaa samajhte hai.n yahii zid hai to KHair aa.nkhe.n uThaate hai.n ham us jaanib magar ai dil ham is me.n jaan kaa khaTkaa samajhte hai.n kahii.n ho.n tere diivaane Thahar jaa.e.n to zindaa.n hai jidhar ko mu.nh uThaa kar chal pa.De sahraa samajhte hai.n jahaa.n kii fitrat-e-begaana me.n jo kaif-e-Gam bhar de.n vahii jiinaa samajhte hai.n vahii marnaa samajhte hai.n hamaaraa zikr kyaa ham ko to hosh aayaa mohabbat me.n magar ham qais kaa diivaana ho jaanaa samajhte hai.n na shoKHii shoKH hai itnii na purkaar itnii purkaarii na jaane log terii saadgii ko kyaa samajhte hai.n bhulaa dii.n ek muddat kii jafaa.e.n us ne ye kah kar tujhe apnaa samajhte the tujhe apnaa samajhte hai.n ye kah kar aabla-paa rau.ndte jaate hai.n kaa.nTo.n ko jise talvo.n me.n kar le.n jazb use sahraa samajhte hai.n ye hastii niistii sab mauj-KHezii hai mohabbat kii na ham qatra samajhte hai.n na ham dariyaa samajhte hai.n 'firaaq' is gardish-e-ayyaam se kab kaam niklaa hai sahar hone ko bhii ham raat kaT jaanaa samajhte hai.n