Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitaron se ulajhta ja raha hun

Firaq Gorakhpuri

sitaron se ulajhta ja raha hun

Firaq Gorakhpuri

sitāroñ se ulajhtā rahā huuñ

shab-e-furqat bahut ghabrā rahā huuñ

tire ġham ko bhī kuchh bahlā rahā huuñ

jahāñ ko bhī samajhtā rahā huuñ

yaqīñ ye hai haqīqat khul rahī hai

gumāñ ye hai ki dhoke khā rahā huuñ

agar mumkin ho le le apnī aahaT

ḳhabar do husn ko maiñ aa rahā huuñ

hadeñ husn-o-mohabbat milā kar

qayāmat par qayāmat Dhā rahā huuñ

ḳhabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat

tire hāthoñ meñ luTtā rahā huuñ

asar bhī le rahā huuñ terī chup

tujhe qaa.il bhī kartā rahā huuñ

bharam tere sitam khul chukā hai

maiñ tujh se aaj kyuuñ sharmā rahā huuñ

unhīñ meñ raaz haiñ gul-bāriyoñ ke

maiñ jo chingāriyāñ barsā rahā huuñ

jo un ma.asūm āñkhoñ ne diye the

vo dhoke aaj tak maiñ khā rahā huuñ

tire pahlū meñ kyuuñ hotā hai mahsūs

ki tujh se duur hotā rahā huuñ

had-e-jor-o-karam se baḌh chalā husn

nigāh-e-yār ko yaad aa rahā huuñ

jo uljhī thī kabhī aadam ke hāthoñ

vo gutthī aaj tak suljhā rahā huuñ

mohabbat ab mohabbat ho chalī hai

tujhe kuchh bhūltā rahā huuñ

ajal bhī jin ko sun kar jhūmtī hai

vo naġhme zindagī ke rahā huuñ

ye sannāTā hai mere paañv chaap

'firāq' apnī kuchh aahaT rahā huuñ

sitaron se ulajhta ja raha hun

shab-e-furqat bahut ghabra raha hun

tere gham ko bhi kuchh bahla raha hun

jahan ko bhi samajhta ja raha hun

yaqin ye hai haqiqat khul rahi hai

guman ye hai ki dhoke kha raha hun

agar mumkin ho le le apni aahaT

KHabar do husn ko main aa raha hun

haden husn-o-mohabbat ki mila kar

qayamat par qayamat Dha raha hun

KHabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat

tere hathon mein luTta ja raha hun

asar bhi le raha hun teri chup ka

tujhe qail bhi karta ja raha hun

bharam tere sitam ka khul chuka hai

main tujh se aaj kyun sharma raha hun

unhin mein raaz hain gul-bariyon ke

main jo chingariyan barsa raha hun

jo un masum aankhon ne diye the

wo dhoke aaj tak main kha raha hun

tere pahlu mein kyun hota hai mahsus

ki tujh se dur hota ja raha hun

had-e-jor-o-karam se baDh chala husn

nigah-e-yar ko yaad aa raha hun

jo uljhi thi kabhi aadam ke hathon

wo gutthi aaj tak suljha raha hun

mohabbat ab mohabbat ho chali hai

tujhe kuchh bhulta sa ja raha hun

ajal bhi jin ko sun kar jhumti hai

wo naghme zindagi ke ga raha hun

ye sannaTa hai mere panw ki chap

'firaq' apni kuchh aahaT pa raha hun

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Shephali Frost

Shephali Frost

Multiple

Multiple

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

sitaron se ulajhta ja raha hun Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now