Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai

Firaq Gorakhpuri

jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai

Firaq Gorakhpuri

jaur-o-be-mehrī-e-iġhmāz pe kyā rotā hai

mehrbāñ bhī koī ho jā.egā jaldī kyā hai

kho diyā tum ko to ham pūchhte phirte haiñ yahī

jis taqdīr bigaḌ jaa.e vo kartā kyā hai

dil ik kaam jo hotā nahīñ ik muddat se

tum zarā haath lagā do to huā rakkhā hai

nigah-e-shoḳh meñ aur dil meñ haiñ choTeñ kyā kyā

aaj tak ham na samajh paa.e ki jhagḌā kyā hai

ishq se tauba bhī hai husn se shikve bhī hazār

kahiye to hazrat-e-dil aap manshā kyā hai

zīnat-e-dosh tirā nāma-e-a.amāl na ho

terī dastār se vaa.iz ye laTaktā kyā hai

haañ abhī vaqt ā.īna dikhā.e kyā kyā

dekhte jaao zamāna abhī dekhā kyā hai

na yagāne haiñ na begāne tirī mahfil meñ

na koī ġhair yahāñ hai na koī apnā hai

nigah-e-mast ko jumbish na hui go sar-e-bazm

kuchh to is jām-e-labā-lab se abhī chhalkā hai

rāt-din phirtī hai palkoñ ke jo saa.e saa.e

dil mirā us nigah-e-nāz dīvānā hai

ham judā.ī se bhī kuchh kaam to le leñge

be-niyāzāna ta.alluq chhuTā achchhā hai

un se baḌh-chaḌh ke to ai dost haiñ yādeñ in

nāz-o-andāz-o-adā meñ tirī rakkhā kyā hai

aisī bātoñ se badaltī hai kahīñ fitrat-e-husn

jaan bhī de de agar koī to kyā hotā hai

tirī āñkhoñ ko bhī inkār tirī zulf ko bhī

kis ne ye ishq ko dīvāna banā rakkhā hai

dil tirā jaan tirī aah tirī ashk tire

jo hai ai dost vo terā hai hamārā kyā hai

dar-e-daulat pe duā.eñ sunī haiñ maiñ ne

dekhiye aaj faqīroñ kidhar pherā hai

tujh ko ho jā.eñge shaitān ke darshan vaa.iz

Daal kar muñh ko garebāñ meñ kabhī dekhā hai

ham kahe dete haiñ chāloñ meñ na aao un

sarvat-o-jāh ke ishvoñ se bacho dhokā hai

yahī gar aañkh meñ rah jaa.e to hai chingārī

qatra-e-ashk jo bah jaa.e to ik dariyā hai

zulf-e-shab-gūñ ke sivā nargis-e-jādū ke sivā

dil ko kuchh aur balāoñ ne bhī aa gherā hai

lab-e-ejāz saugand ye jhankār thī kyā

terī ḳhāmoshī ke mānind abhī kuchh TuuTā hai

daar par gaah nazar gaah sū-e-shahr-e-nigār

kuchh suneñ ham bhī to ai ishq irāda kyā hai

aa ki ġhurbat-kada-e-dahr meñ bahlā.eñ

ai dil us jalva-gah-e-nāz meñ kyā rakkhā hai

zaḳhm zaḳhm huuñ maiñ sub.h mānind 'firāq'

raat bhar hijr lazzat se mazā luuTā hai

jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai

mehrban bhi koi ho jaega jaldi kya hai

kho diya tum ko to hum puchhte phirte hain yahi

jis ki taqdir bigaD jae wo karta kya hai

dil ka ek kaam jo hota nahin ek muddat se

tum zara hath laga do to hua rakkha hai

nigah-e-shoKH mein aur dil mein hain choTen kya kya

aaj tak hum na samajh pae ki jhagDa kya hai

ishq se tauba bhi hai husn se shikwe bhi hazar

kahiye to hazrat-e-dil aap ka mansha kya hai

zinat-e-dosh tera nama-e-amal na ho

teri dastar se waiz ye laTakta kya hai

han abhi waqt ka aaina dikhae kya kya

dekhte jao zamana abhi dekha kya hai

na yagane hain na begane teri mahfil mein

na koi ghair yahan hai na koi apna hai

nigah-e-mast ko jumbish na hui go sar-e-bazm

kuchh to is jam-e-laba-lab se abhi chhalka hai

raat-din phirti hai palkon ke jo sae sae

dil mera us nigah-e-naz ka diwana hai

hum judai se bhi kuchh kaam to le hi lenge

be-niyazana talluq hi chhuTa achchha hai

un se baDh-chaDh ke to ai dost hain yaaden in ki

naz-o-andaz-o-ada mein teri rakkha kya hai

aisi baaton se badalti hai kahin fitrat-e-husn

jaan bhi de de agar koi to kya hota hai

teri aankhon ko bhi inkar teri zulf ko bhi

kis ne ye ishq ko diwana bana rakkha hai

dil tera jaan teri aah teri ashk tere

jo hai ai dost wo tera hai hamara kya hai

dar-e-daulat pe duaen si suni hain main ne

dekhiye aaj faqiron ka kidhar phera hai

tujh ko ho jaenge shaitan ke darshan waiz

Dal kar munh ko gareban mein kabhi dekha hai

hum kahe dete hain chaalon mein na aao un ki

sarwat-o-jah ke ishwon se bacho dhoka hai

yahi gar aankh mein rah jae to hai chingari

qatra-e-ashk jo bah jae to ek dariya hai

zulf-e-shab-gun ke siwa nargis-e-jadu ke siwa

dil ko kuchh aur balaon ne bhi aa ghera hai

lab-e-ejaz ki saugand ye jhankar thi kya

teri KHamoshi ke manind abhi kuchh TuTa hai

dar par gah nazar gah su-e-shahr-e-nigar

kuchh sunen hum bhi to ai ishq irada kya hai

aa ki ghurbat-kada-e-dahr mein ji bahlaen

ai dil us jalwa-gah-e-naz mein kya rakkha hai

zaKHm hi zaKHm hun main subh ki manind 'firaq'

raat bhar hijr ki lazzat se maza luTa hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now