Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Yashvardhan Mishra's Photo'

Yashvardhan Mishra

2002 | Azamgarh, India

Yashvardhan Mishra

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 15

rang saare aa ga.e 'āriz pe mere

jab kahā us ne mujhe holī mubārak

rang sare aa gae 'ariz pe mere

jab kaha us ne mujhe holi mubarak

rakh liyā thā maiñ ne roza jaañ tumhāre naam

tum ko dekhā ḳhvāb meñ aur merī sehrī ho ga.ī

rakh liya tha main ne roza jaan tumhaare nam ka

tum ko dekha KHwab mein aur meri sehri ho gai

banā hogā kisī bhī roz to patthar banā hogā

kahīñ phir baa'd meñ vo shaḳhs chārāgar banā hogā

bana hoga kisi bhi roz to patthar bana hoga

kahin phir ba'd mein wo shaKHs chaaragar bana hoga

dil kamra raushnī se bhar gayā

jab jalā dīpak tumhārī yaad

dil ka kamra raushni se bhar gaya

jab jala dipak tumhaari yaad ka

tumhāre bin nahīñ lete kabhī karvaT akele ham

tumhārī yaad bhī karvaT hamāre saath letī hai

tumhaare bin nahin lete kabhi karwaT akele hum

tumhaari yaad bhi karwaT hamare sath leti hai

More Poets From "Azamgarh"

Recitation

Speak Now