Syed Sarosh Asif
Ghazal 25
Sher-o-Shayari 2
us ke haath meñ ġhubbāre the phir bhī bachchā gum-sum thā
vo ġhubbāre bech rahā ho aisā bhī ho saktā hai
us ke hath mein ghubbare the phir bhi bachcha gum-sum tha
wo ghubbare bech raha ho aisa bhi ho sakta hai
- Add to favorites
-
Share this
dard ghanerā hijr kā sahrā ghor añdherā aur yādeñ
raam nikāl ye saare rāvan merī raam kahānī se
dard ghanera hijr ka sahra ghor andhera aur yaaden
ram nikal ye sare rawan meri ram kahani se
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
ye hijrato.n kaa zamaanaa bhii kyaa zamaanaa hai unhii.n se duur hai.n jin ke liye kamaanaa hai KHushii ye hai ki mire ghar se phone aayaa hai sitam ye hai ki mujhe KHairiyat bataanaa hai hame.n ye baat bahut der me.n samajh aa.ii vahii.n to jaal bichhaa hai jahaa.n bhii daana hai hame.n jalaa nahii.n saktii hai dhuup hijrat kii hamaare sar pe zaruurat kaa shaamiyaana hai namaaz eid kii pa.Dh kar mai.n Dhuu.nDhtaa hii rahaa kahii.n dikhe ko.ii apnaa gale lagaanaa hai vahii.n vahii.n liye phirtii hai gardish-e-dauraa.n jahaa.n jahaa.n bhii likhaa meraa aab-o-daana hai