Sandeep Gupte
Ghazal 9
Sher-o-Shayari 12
āñdhiyāñ aa.iiñ uThā kar le ga.iiñ sab bastiyāñ
maiñ ne ik dil meñ banāyā thā makāñ achchhā huā
aandhiyan aain uTha kar le gain sab bastiyan
main ne ek dil mein banaya tha makan achchha hua
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
dulhan kī mehñdī jaisī hai urdu zabāñ kī shakl
ḳhushbū bikhertā hai ibārat kā harf harf
dulhan ki mehndi jaisi hai urdu zaban ki shakl
KHushbu bikherta hai ibarat ka harf harf
- Add to favorites
-
Share this
ham ehtiyāt kī aisī misāl dete haiñ
tumhārā zikr bhī aayā to Taal dete haiñ
hum ehtiyat ki aisi misal dete hain
tumhaara zikr bhi aaya to Tal dete hain
- Add to favorites
-
Share this
maiñ tumhāre shahr kī tahzīb se vāqif na thā
pattharoñ se kī nahīñ thī guftugū pahle kabhī
main tumhaare shahr ki tahzib se waqif na tha
pattharon se ki nahin thi guftugu pahle kabhi
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
tū kahāñ rahtī hai pūchhā thā kisī ne ek din
maiñ ġhamoñ ke saath rahtī huuñ ḳhushī kahne lagī
tu kahan rahti hai puchha tha kisi ne ek din
main ghamon ke sath rahti hun KHushi kahne lagi
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal