Raghvendra Dwivedi
Ghazal 42
Sher-o-Shayari 72
zindagī se tañg aa kar ḳhud-kushī kar lī kisī ne
aur koī ḳhud-kushī kartā rahā hai zindagī-bhar
zindagi se tang aa kar KHud-kushi kar li kisi ne
aur koi KHud-kushi karta raha hai zindagi-bhar
- Add to favorites
-
Share this
ḳhaak se paidā huā hai ḳhaak meñ mil jā.egā
ek kulhaḌ kī tarah hai aadmī kī zindagī
KHak se paida hua hai KHak mein mil jaega
ek kulhaD ki tarah hai aadmi ki zindagi
- Add to favorites
-
Share this
mile do vaqt kī roTī sukūñ se niiñd aa jaa.e
yahī pahlī zarūrat hai jise ham bhuul jaate haiñ
mile do waqt ki roTi sukun se nind aa jae
yahi pahli zarurat hai jise hum bhul jate hain
- Add to favorites
-
Share this
ik tarīqa ye bhī thā phal bāñTte vo umr-bhar
bhā.iyoñ ne peḌ kaaTā aur lakḌī baañT lī
ek tariqa ye bhi tha phal banTte wo umr-bhar
bhaiyon ne peD kaTa aur lakDi banT li
- Add to favorites
-
Share this
sab kā alag andāz thā sab rang rakhte the judā
rahnā sabhī ke saath thā so ḳhud ko paanī kar liyā
sab ka alag andaz tha sab rang rakhte the juda
rahna sabhi ke sath tha so KHud ko pani kar liya
- Add to favorites
-
Share this