Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Ghazal 44
Sher-o-Shayari 15
dozaḳh o jannat haiñ ab merī nazar ke sāmne
ghar raqīboñ ne banāyā us ke ghar ke sāmne
dozaKH o jannat hain ab meri nazar ke samne
ghar raqibon ne banaya us ke ghar ke samne
- Add to favorites
-
Share this
laa.e us but ko iltijā kar ke
kufr TuuTā ḳhudā ḳhudā kar ke
lae us but ko iltija kar ke
kufr TuTa KHuda KHuda kar ke
- Add to favorites
-
Share this
samjhā hai haq ko apne hī jānib har ek shaḳhs
ye chāñd us ke saath chalā jo jidhar gayā
samjha hai haq ko apne hi jaanib har ek shaKHs
ye chand us ke sath chala jo jidhar gaya
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
butoñ kī galī chhoḌ kar kaun jaa.e
yahīñ se hai ka.aba ko sajda hamārā
buton ki gali chhoD kar kaun jae
yahin se hai kaba ko sajda hamara
- Add to favorites
-
Share this
kyā lutf jo ġhair parda khole
jaadū vo jo sar pe chaḌh ke bole
kya lutf jo ghair parda khole
jadu wo jo sar pe chaDh ke bole
- Add to favorites
-
Share this