Mansoor Usmani
Ghazal 15
Sher-o-Shayari 17
āñkhoñ se mohabbat ke ishāre nikal aa.e
barsāt ke mausam meñ sitāre nikal aa.e
aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae
barsat ke mausam mein sitare nikal aae
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
mujh se dillī kī nahīñ dil kī kahānī suniye
shahr to ye bhī ka.ī baar luTā hai mujh meñ
mujh se dilli ki nahin dil ki kahani suniye
shahr to ye bhi kai bar luTa hai mujh mein
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
jahāñ jahāñ koī urdu zabān boltā hai
vahīñ vahīñ mirā hindostān boltā hai
jahan jahan koi urdu zaban bolta hai
wahin wahin mera hindostan bolta hai
- Add to favorites
-
Share this
apnī tārīf sunī hai to ye sach bhī sun le
tujh se achchhā tirā kirdār nahīñ ho saktā
apni tarif suni hai to ye sach bhi sun le
tujh se achchha tera kirdar nahin ho sakta
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
pahle to us kī yaad ne sone nahīñ diyā
phir us kī āhaToñ ne kahā jāgte raho
pahle to us ki yaad ne sone nahin diya
phir us ki aahaTon ne kaha jagte raho
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal