Kaif Ahmed Siddiqui
Ghazal 24
Nazm 20
Sher-o-Shayari 14
mahsūs ho rahā hai ki maiñ ḳhud safar meñ huuñ
jis din se rail par maiñ tujhe chhoḌne gayā
mahsus ho raha hai ki main KHud safar mein hun
jis din se rail par main tujhe chhoDne gaya
-
Share this
- See Ghazal
ik baras bhī abhī nahīñ guzrā
kitnī jaldī badal ga.e chehre
ek baras bhi abhi nahin guzra
kitni jaldi badal gae chehre
-
Share this
- See Ghazal
ḳhushī kī aarzū kyā dil meñ Thahre
tire ġham ne biThā rakkhe haiñ pahre
KHushi ki aarzu kya dil mein Thahre
tere gham ne biTha rakkhe hain pahre
-
Share this
- See Ghazal
aaj kuchh aise sho.ale bhaḌke bārish ke har qatre se
dhuup panāheñ maañg rahī hai bhīge hue daraḳhtoñ meñ
aaj kuchh aise shoale bhaDke barish ke har qatre se
dhup panahen mang rahi hai bhige hue daraKHton mein
-
Share this
- See Ghazal
sard jazbe bujhe bujhe chehre
jism zinda haiñ mar ga.e chehre
sard jazbe bujhe bujhe chehre
jism zinda hain mar gae chehre
-
Share this
- See Ghazal
Lori 1
BOOKS 6
Image Shayari 1
kitnii mehnat se pa.Dhaate hai.n hamaare ustaad ham ko har ilm sikhaate hai.n hamaare ustaad to.D dete hai.n jahaalat ke a.ndhero.n kaa tilism ilm kii sham.a jalaate hai.n hamaare ustaad manzil-e-ilm ke ham log musaafir hai.n magar raasta ham ko dikhaate hai.n hamaare ustaad zindagii naam hai kaa.nTo.n ke safar kaa lekin raah me.n phuul bichhaate hai.n hamaare ustaad dil me.n har lamha taraqqii kii du.aa karte hai.n ham ko aage hii ba.Dhaate hai.n hamaare ustaad sab ko tahziib-o-tamaddun kaa sabaq dete hai.n ham ko insaan banaate hai.n hamaare ustaad ham ko dete hai.n ba-har-lamha payaam-e-ta.aliim achchhii baate.n hii bataate hai.n hamaare ustaad KHud to rahte hai.n bahut ta.ng-o-pareshaan magar daulat-e-ilm luTaate hai.n hamaare ustaad ham pe laazim hai ki ham log kare.n un kaa adab kis mohabbat se ba.Dhaate hai.n hamaare ustaad