aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hamid Mukhtar Hamid's Photo'

Hamid Mukhtar Hamid

Muzaffarnagar, India

Hamid Mukhtar Hamid

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 8

ye jafāoñ sazā hai ki tamāshā.ī hai

ye vafāoñ sazā hai ki pa.e-dār huuñ maiñ

ye jafaon ki saza hai ki tamashai hai tu

ye wafaon ki saza hai ki pae-dar hun main

gir na jaa.e tire meyār se andāz-e-hurūf

yuuñ kabhī naam bhī terā nahīñ likhkhā maiñ ne

gir na jae tere meyar se andaz-e-huruf

yun kabhi nam bhi tera nahin likhkha main ne

aaj ḳhat use bhejā hai korā lekin

aaj ḳhat adhūrā nahīñ likhkhā maiñ ne

aaj ka KHat hi use bheja hai kora lekin

aaj ka KHat hi adhura nahin likhkha main ne

umr terī guzar jā.egī un ke hal meñ

terā bachcha jo savālāt liye baiThā hai

umr hi teri guzar jaegi un ke hal mein

tera bachcha jo sawalat liye baiTha hai

hañsī le ke mirī aañkh ko aañsū de de

mujh se sūkhā huā dariyā nahīñ dekhā jaatā

tu hansi le ke meri aankh ko aansu de de

mujh se sukha hua dariya nahin dekha jata

More Poets From "Muzaffarnagar"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now