Ganesh Bihari Tarz
Ghazal 8
Sher-o-Shayari 13
ai gardisho tumheñ zarā tāḳhīr ho ga.ī
ab merā intizār karo maiñ nashe meñ huuñ
ai gardisho tumhein zara taKHir ho gai
ab mera intizar karo main nashe mein hun
-
Share this
- See Ghazal
ahl-e-dil ke vāste paiġhām ho kar rah ga.ī
zindagī majbūriyoñ kā naam ho kar rah ga.ī
ahl-e-dil ke waste paigham ho kar rah gai
zindagi majburiyon ka nam ho kar rah gai
-
Share this
- See Ghazal
ye mahal ye maal o daulat sab yahīñ rah jā.eñge
haath aa.egī faqat do gaz zamīñ marne ke baad
ye mahal ye mal o daulat sab yahin rah jaenge
hath aaegi faqat do gaz zamin marne ke baad
-
Share this
- See Ghazal
ab maiñ hudūd-e-hosh-o-ḳhirad se guzar gayā
Thukrāo chāhe pyaar karo maiñ nashe meñ huuñ
ab main hudud-e-hosh-o-KHirad se guzar gaya
Thukrao chahe pyar karo main nashe mein hun
-
Share this
- See Ghazal
Qita 17
BOOKS 3
Image Shayari 2
kyaa zid hai ki barsaat bhii ho aur nahii.n bhii ho tum kaun ho jo saath bhii ho aur nahii.n bhii ho phir bhii unhii.n lamhaat me.n jaane se faa.eda? pal bhar ko mulaaqaat bhii ho aur nahii.n bhii ho