Farooq Shafaq
Ghazal 20
Sher-o-Shayari 11
din kisī tarah se kaT jā.egā saḌkoñ pe 'shafaq'
shaam phir aa.egī ham shaam se ghabrā.eñge
din kisi tarah se kaT jaega saDkon pe 'shafaq'
sham phir aaegi hum sham se ghabraenge
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
hone vaalā thā ik hādsa rah gayā
kal kā sab se baḌā vāqi.a rah gayā
hone wala tha ek hadsa rah gaya
kal ka sab se baDa waqia rah gaya
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
apnī laġhzish ko to ilzām na degā koī
log thak-hār ke mujrim hameñ Thahrā.eñge
apni laghzish ko to ilzam na dega koi
log thak-haar ke mujrim hamein Thahraenge
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
sāmne jhiil hai jhiil meñ āsmāñ
āsmāñ meñ ye uḌtā huā kaun hai
samne jhil hai jhil mein aasman
aasman mein ye uDta hua kaun hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
shahr meñ jiinā hai chalnā do-ruḳhī talvār par
aadmī kis se bache kis kī taraf-dārī kare
shahr mein jina hai chalna do-ruKHi talwar par
aadmi kis se bache kis ki taraf-dari kare
- Add to favorites
-
Share this