Farhat Zahid
Ghazal 20
Nazm 2
Sher-o-Shayari 24
alfāz na āvāz na hamrāz na dam-sāz
ye kaise dorāhe pe maiñ ḳhāmosh khaḌī huuñ
alfaz na aawaz na hamraaz na dam-saz
ye kaise dorahe pe main KHamosh khaDi hun
- Add to favorites
-
Share this
aurat huuñ magar sūrat-e-kohsār khaḌī huuñ
ik sach ke tahaffuz ke liye sab se laḌī huuñ
aurat hun magar surat-e-kohsar khaDi hun
ek sach ke tahaffuz ke liye sab se laDi hun
- Add to favorites
-
Share this
vo aa.e to rang sañvarne lagte haiñ
jaise bichhḌā yaar bhī koī mausam hai
wo aae to rang sanwarne lagte hain
jaise bichhDa yar bhi koi mausam hai
- Add to favorites
-
Share this
maiñ bhī na thī kalām meñ itnī farāḳh-dil
kuchh vo bhī iḳhtisār se aage na jā sakā
main bhi na thi kalam mein itni faraKH-dil
kuchh wo bhi iKHtisar se aage na ja saka
- Add to favorites
-
Share this
ye chāñd mujh ko hī tak rahā hai
tumheñ hamesha ye shak rahā hai
ye chand mujh ko hi tak raha hai
tumhein hamesha ye shak raha hai
- Add to favorites
-
Share this