Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Amit Sharma Meet's Photo'

Amit Sharma Meet

1989 | Bareilly, India

Amit Sharma Meet

Ghazal 27

Sher-o-Shayari 24

december sardī hai us ke jaisī

zarā jo chhū le badan kāñptā hai

december ki sardi hai us ke hi jaisi

zara sa jo chhu le badan kanpta hai

rāt-bhar ḳhvāb meñ jalnā bhī ik bīmārī hai

ishq aag se bachne meñ samajhdārī hai

raat-bhar KHwab mein jalna bhi ek bimari hai

ishq ki aag se bachne mein samajhdari hai

raat bechain sardī meñ ThiThurtī hai bahut

din bhī har roz sulagtā hai tirī yādoñ se

raat bechain si sardi mein ThiThurti hai bahut

din bhi har roz sulagta hai teri yaadon se

purānī dekh kar tasvīr terī

nayā har din guzartā rahā hai

purani dekh kar taswir teri

naya har din guzarta ja raha hai

terī sūrat terī chāhat yādeñ sab

chhoTe se is dil meñ kyā kyā rakkhūñgā

teri surat teri chahat yaaden sab

chhoTe se is dil mein kya kya rakkhunga

More Poets From "Bareilly"

Recitation

Speak Now