Sher of Aasi uldani
apnī hālat kā ḳhud ehsās nahīñ hai mujh ko
maiñ ne auroñ se sunā hai ki pareshān huuñ maiñ
apni haalat ka KHud ehsas nahin hai mujh ko
main ne auron se suna hai ki pareshan hun main
kahte haiñ ki ummīd pe jiitā hai zamāna
vo kyā kare jis ko koī ummīd nahīñ ho
kahte hain ki ummid pe jita hai zamana
wo kya kare jis ko koi ummid nahin ho
sabr par dil ko to āmāda kiyā hai lekin
hosh uḌ jaate haiñ ab bhī tirī āvāz ke saath
sabr par dil ko to aamada kiya hai lekin
hosh uD jate hain ab bhi teri aawaz ke sath
betāb sā phirtā hai ka.ī roz se 'āsī'
bechāre ne phir tum ko kahīñ dekh liyā hai
betab sa phirta hai kai roz se 'asi'
bechaare ne phir tum ko kahin dekh liya hai
ishq pāband-e-vafā hai na ki pāband-e-rusūm
sar jhukāne ko nahīñ kahte haiñ sajda karnā
love is known by faithfulness and not by rituals bound
just bowing of one's head is not
ishq paband-e-wafa hai na ki paband-e-rusum
sar jhukane ko nahin kahte hain sajda karna
love is known by faithfulness and not by rituals bound
just bowing of one's head is not
jahāñ apnā qissa sunānā paḌā
vahīñ ham ko ronā rulānā paḌā
jahan apna qissa sunana paDa
wahin hum ko rona rulana paDa
murattab kar gayā ik ishq kā qānūn duniyā meñ
vo dīvāne haiñ jo majnūñ ko dīvāna batāte haiñ
murattab kar gaya ek ishq ka qanun duniya mein
wo diwane hain jo majnun ko diwana batate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download