qalam
mujh se baḌhī hai ilm kī daulat
dekhne meñ huuñ maiñ be-qīmat
jāhil ko be-zārī mujh se
aalim kī hai yaarī mujh se
mujh meñ sheroñ jaisī himmat
sachchā.ī hai merī tāqat
garche lagtā chhoTā sā huuñ
kaam baḌe par maiñ kartā huuñ
dekho to be-kār hī samjho
lekin maiñ anmol huuñ bachcho
tiir nahīñ talvār nahīñ maiñ
dushman par bhī baar nahīñ maiñ
merī tāqat ko kyā jaano
daanā ho to tum pahchāno
kaam adālat meñ bhī aa.uuñ
pyaar mohabbat meñ bhī aa.uuñ
ḳhat likhnā paiġhām bhī denā
saath meñ sab kā naam bhī denā
pahchāno to kaun huuñ pyāre
aatā huuñ maiñ kaam tumhāre
mujh se baDhi hai ilm ki daulat
dekhne mein hun main be-qimat
jahil ko be-zari mujh se
aalim ki hai yari mujh se
mujh mein sheron jaisi himmat
sachchai hai meri taqat
garche lagta chhoTa sa hun
kaam baDe par main karta hun
dekho to be-kar hi samjho
lekin main anmol hun bachcho
tir nahin talwar nahin main
dushman par bhi bar nahin main
meri taqat ko kya jaano
dana ho to tum pahchano
kaam adalat mein bhi aaun
pyar mohabbat mein bhi aaun
KHat likhna paigham bhi dena
sath mein sab ka nam bhi dena
pahchano to kaun hun pyare
aata hun main kaam tumhaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.