mom-batti
rātoñ ko dukh sahtī huuñ maiñ
din meñ ġhāfil rahtī huuñ maiñ
raushan mujh se Derā Derā
dekh ke mujh ko bhāge añdherā
mahfil meñ jal jaatī huuñ maiñ
shab bhar meñ Dhal jaatī huuñ maiñ
bhiig rahā hai dāman merā
jalne lagā hai tan-man merā
mujh se patañge Darte haiñ
phir bhī vo mujh par marte haiñ
paas vo mere jab aate haiñ
maut kā luqma ban jaate haiñ
'ādil' merā naam batāo
ilm kī sham.eñ har sū jalāo
raaton ko dukh sahti hun main
din mein ghafil rahti hun main
raushan mujh se Dera Dera
dekh ke mujh ko bhage andhera
mahfil mein jal jati hun main
shab bhar mein Dhal jati hun main
bhig raha hai daman mera
jalne laga hai tan-man mera
mujh se patange Darte hain
phir bhi wo mujh par marte hain
pas wo mere jab aate hain
maut ka luqma ban jate hain
'adil' mera nam batao
ilm ki shamen har su jalao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.